Friday, February 25, 2011

Usne mujhe ek nazar dekha nahi shayad.....

Tumko is baat ki khabar nahi shayad,
Mera dil koi patthar nahi shayad,

Mil jaao tum mujhe isi zindagi me
Mera koi dusra Janam nahi shayad,

Raah-e-Safar tak hi simit thi,
Meri Kismat me manzil nahi shayad,

Paani dikhaake pyaasa chod dete hai wo,
Meri zindagi ki koi kimat nahi shayad,

Puchta fir raha hai dar-b-dar is tarah se,
Mere baare me use kuch khabar nahi shayad,

Rehmat ki baarish barsaai sab pe mere siwaa,
'Shoonya...' usne tujhe ek nazar dekha nahi shayad.

Monday, February 14, 2011

"ye bhi accha hai tum juda ho gaye"...

jaan le kar meri, dil jalaane ke baad
vo khil kar hanse, muskuraane ke baad

meri jaan main kis zabaan se kahu
mujhe hai sukuun tere jaane ke baad

khushi ne kiya mere dil se gurez
"marega tu" mujhko sunane ke baad

unhen yaad aya to hoga zaroor
mera khun mehndi lagane ke baad

adavat to thi hi, muhabbat bhi thi
rahe ghar me ghar ko jalaane ke baad

davaa ki , duaa ki , na kya-kya kiya
ye gam na gaye dil me aane ke baad

khafa na ho mujhse chala jaunga
tere naqsh-e-paa ko uthane ke baad

ye bhi acha hua tum juda ho gaye
mar hi jaate sanam tumko paane ke baad

le chalo meri maiyat ko unki gali
dafna dena unko dikhaane ke baad

“Shoonya" ko adab-e-sukhan aa gaya
zindagi bhar baaton se nibhaane ke baad

Sunday, January 23, 2011

Yaad Beete Dinon ki Dilaate ho kyun ?

yaad beete dinon ki dilaate ho kyun
main bahut ro chuka, ab rulaate ho kyun

kab ye maine kaha hai, ho tum bewafaa
apni majburiyan tum bataate ho kyun

gar nahin ho kisi ke gunahgaar tum
apna munh is jahaan se chupate ho kyun

kya milega tumhe raakh ke Dher se
Khaak me mujh ko aakhir milaate ho kyun

surkh hai Khoon-e-dil bhi mera, aye sanam!
apne haathon me menhdi lagaate ho kyun

laut kar apne ghar bhi na main jaa saku
saaqiya! mujhko itni pilaate ho kyun

dekh kar mujh ko kehtaa hai ye, aaina
aankh nam hai to fir muskuraate ho kyun

doston ki tarah mat milo, Thik hai
dushmano ki tarah pesh aate ho kyun

jab aye "Shoonya" hua tum se voh bewafaa
tum bhi apni taraf se nibhaate ho kyun.?.....


-------------------------Shoonya..............

Friday, January 7, 2011

Sunday, January 2, 2011

less words more feelings

here i am, at the beginning of the new year 2011 with nothing special to do, nothing special to think of, nothing special to belive into.


"Zindagi mujhse kehti hai hardam udaas mat rahiye
main kehta hu mujhe ek wajah to de hasne ke liye...

i'm trying hard to overcome this sadness but i can't.
maybe its her face....her voice...her eyes...i don't know what it is but i can't forget her....
to celebrate this sadness of mine...on the year end...i wrote a few couplets

do read and let me know how they are......


har ek saans mein tu uska dhyan rehne de
main khud se ladata rahun, itni jaan rehne de
har waqt uparwale se meri ladai rahegi isi baat par ke...kam se kam wo mujhe bata kar to jati..aaj bhi kai sawaal hai jinke koi jawaab nahi....aur ab jawaab mil sake uske koi asaar nahi par khair meri to ladai chalti rahegi...

labon par hasi aankho me do char ashq bhi hain,,,,
aaj unhe shayad kisi ne hasa kar rulaya hai.....
kabhi hum inhe hasaya karte the ...kabhi rulaya karte the......aaj koi unko itna hasa raha hai ki hasi se aansu aa gaye hai unki aankhon me....kabhi ham isi muskaan ki wajah the bas yahi soch kar tasalli de dete hai ...

ek naam kya likha tera shahil ki rait par
fir umr bhar hawa se meri dushmani rhi…
hawa se aaj bhi meri dushmani isi baat pe rahi ki wo tumhara naam mita gayi.....


Use Main Yaad aAta Hoon Magar Fursat Ke Lamhon Me "jubin"
Magar Ye Baat Bhi Sach Hai Use Fursat Nahi Milti
kabhi yunhi sochta hu ke kya wo mere bare me sochte honge....
fir ye bahana bana kar dil ko samjha leta hu ke shayad unke paas fursat na hogi mere liye...


Pichle Baras Tha Khauf Ke Tujhe Kho Na Doon Kahin,.
Ab Ke Baras Ye Dua Hai Ke Tera Saamna Na Ho,


jab tak baat bigdi na thi ek khauf tha tumhe khone ka...tumhari ek faisle ne meri zindagi ka pehlu badal diya....
ab isi baat ki dua karta hu ki aane wale saal me tumhara saamna na ho...

Saturday, September 4, 2010

Ruk bhi jayega chaand to kitne lamhe ?

Roobaroo dar, chale jaane ke baad aaoge?
Kaun kehta hai, ki,ab umra bhar sataoge?

Naazneeno ki adaaon ka kya bayaan karu
Har lamhe nain tokte hain, ki, 'kab jaaoge?

Khud bulaya tha, kai baar bhej kar "shoonya"
Dar pai haazir hun kya pata, ki, kab bulaaoge?

Maantaa hun, ki, khata mujhse ho gayi hogi!
Daur-e-ulfat hai kab tak wahi dohraoge?

Saath taahashra rahega, ye zaroori to nahi!
Kab tak saath ho, ye bhi nahi bataaoge?

Ruk bhi jayega agar chaand, to, kitne lamhe?
Magrabi jaw me kahaan par pata lagaaoge?

Tamaam dar khule hain dil ke, na jaane kab se
Khade rahoge door, yaa kadam badhaoge?

Sadaaein lakh zehen me panaah leti hai?
Gazal hai ek simat ta shoonya ki kab sunaoge?

Thursday, August 19, 2010

Wednesday, July 28, 2010

Kitne parwane jale raaz ye paane ke liye........

Anup jalota ji ki ek ghazal hai ...
"Kitne parwane jalne raaz ye paane ke liye.....shamma jalne ke liye hai ya jalane ke liye"
bas yahi sun kar is nazm ki inspiration mili.......
Kitne Dil Tute Hai.. Raaz Yeh Paane Ke Liye..
Ke Mohabbat Sukoon Hai.. Ya Aag Dil Jalaane Ke Liye?

Ashkh Bahaane Wale Rone Ka Saleeka To Bataa..
Ashq Pine Ke Liye Hai Ya Bahane Ke Liye?

Aaj Raat Aayi Hai.. Raaz - e - Dil Bayaan Karne Ki..
Roz Guzar Jaati Hai Kambaqt Satane Ke Liye..

Hume Yakeen Hai... Ek din Aap Zaroor Aayenge Dar Par..
Humse Roothne Ya Hume Manaane Ke liye...

Bahut Si Baatein Karni Hai.. Bahut Kuch Hai Kehna..
Aur Naa Jaane Kitne Zakhm Hai Dikhaane Ke liye..

Roz Jhoot Yeh Bol, Aaram Dil ko De Leta Hoon...
Ke Tumne Vaade Kiye Aashique Se.. Nibhane Ke liye...

Kitne Dil Tute Hai.. Raaz Yeh Paane Ke Liye..
Ke Mohabbat Sukoon Hai.. Ya Dil Jalaane Ke Liye

Wednesday, July 21, 2010

kuch khwaab naye se....

ek usi ke jawaab ka intezaar hai ....na jaane kab aayega....haal kuch aisa hai ki wo wahaan aahen bhar rahi hai aur main yahaan........kambakht ye intezaar hi to nahi hota......upar se aisa bheega mausam ....khair ...kuch likhne ki koshish ki hai ..........


kuchh khwaab naye se, phir main bunne laga hu…
phool hasraton ke apne, tere bagh se chugne laga hu…

ruka ho waqt hi jaise, viraan kisi shehar me aakar…!
thama sa main, tujhe dekh teri ore chalne laga hu...

kyu baat kar ke tu rehta hai sharaminda sa mujhse…?
tu nahi jaanta, tujhsa to main ab dhalne laga hu...

kyu dard na hota tha dil ko, sab lut jaane ke bhi baad…?
hai tu janmon se mera, ye baat samjhne laga hu…!

ek bekhud si tabiyat ya rab, uspar jalne ka bhi shauk…!
faulaad tha, rehmaton se teri ab pighalne laga hu…

kisi pareshaaN hatheli se nikalta paseena ho jaise…!
pakar saath tera waqt ki mutthi se phisalne laga hu…

hua kuch suroor hi aisa teri sohbat ka mujh par…!
mast tha, raza se apni bandhne laga hu…!

Friday, July 16, 2010

Please Come back Soon

wo wahaan hai mujhse meelon dur.....khushnaseeb hu ki kamse kam phone pe to baat hoti hai
ab nahi rahaa jata laut aao .........kaafi dino baad kuch likha hai
na jaan ab agli baar kab likhunga
lagta hai zung sa lag gaya hai meri is .......khair...lagta hai shayad mujhe bhi pyar ho gaya ...........


Ab Agar Aao To Jaane Ke Liye Mat Aana
Sirf Ehsaan Jatane Ke Liye Mat Aana

Maine Palko Pe Tamannae Saja Rakhi Hai
Dil Me Umeed Ki Sau Shamme Jala Rakhi Hai
Yeh Hasi Shamme Bujhane Ke Liye Mat Aana

Pyar Ki Aag Me Zanjeere Pighal Sakti Hai
Chahne Walo Ki Takdire Badal Sakti Hai
Tum Ho Bebas Ye Batane Ke Liye Mat Aana

Ab Tum Aana Jo Tumhe Mujhse Mohabat Hai Koi
Mujhse Milne Ki Aagar Tumko Bhi Chahat Hai Koi
Tum Koi Rasam Nibhane Ke Liye Mat Aana
Ab Agar Aao To Jaane Ke Liye Mat Aana ......................


Ek Simat ta Shoonya........................

Friday, April 2, 2010

mujhko lamha-e-fursat ka khilona na bana

aksar aisa hota hai ki koi kisi se pyar karta hai aur kisi aur se bhi pyar karta hai .......aisa hi ek kissa chal raha hai aaj kal mere ek dost ke zindagi me.....samaj nahi aa raha hai kaise ek ladki ek hi waqt pe 2 -3 ladko se pyar kar sakti hai ......isi beech phasta hai to bas ek wo ladka jo us ladki se dil se pyar kar baith.ta hai waqt ke saath saath wo sirf ek waqt bitane ka khilona ban jata hai ...jab jee chaha khel liya ....jab jee chaha.....phenk diya......aise rishte tik nahi paate aur kisi insaan ko andar hi andar tod jate hai ....dost to saath de hi dete hai par us ladki ke pyar ki jab aankhon pe patti bandhi ho to ..dost bhi dikhayi nahi dete........
khair ek koshish pesh kar raha hu.....


Apni Nazro se jo gir jaaye vo chehra na bana..
Mujhko lamha-e-fursat ka khilona na bana..

Sainkdo raaste hai ajnabi ho jane ke..
Tark karna hai to talluk ka bahaana na bana..

Jhoot... ehsaas ke chirag ko bujha deta hai..
Mujhe insaan samjha.... khud ko farishta na bana..

Apni yaadein tu mere dil mein basi rehne de..
Is mehakte hue gulzaar ko sehra na bana..

Mein to pehle hi zakhm liye phirta hu..
Muhje ab shehar dard-e-tamasha na bana..

Thak gayi hai mere ehsaas ki aakhe..
Naqsh-e-deewar par ab koi afsaana na bana......

Saturday, March 27, 2010

random thought ......

just a random thought started with a poem but don't knw where its heading ! !


Chala Hu Main Apni Kahani Banane....... Koi Nahi Hai Par,
Haath Hai Thama Zindagi Ka,.......Zindagi Nibhanay.

Jee Sakta Hu Main Akela
Chala Hu Main Ye Zamane Ko Batane

Darr To Lagta Hai Akele Pan Se..
Par Darr ko Darna Padega Mere Deewane Pan Se..

Ujalon Ne Saath Choda Hai…
To Main Chala Hu Andheron Me Samane

Chala Hu Main Apni Kahani Banane.
Gam Hi Gam Hain Pade Pasare..
Dard Ki Koi Nahi Dawa Yeh Dard Hi Ban jaatain Hai Sahare

----------------------ek simat ta Shoonya--------------

Wednesday, February 24, 2010

Aaj kyun Akela Hu ?

tanha sa hu main aaj ......akela bhi hu.......kuch to khuda ne mujhe pe rehem ki hoti.......hai kai log ab aas paas mere bas jisko chahte hai unki kami hai .........
pichle kuch dino se ek khalipan sa mehsus kar raha hu ...akelapan ...tanhai ....ye to samajiye ki zindagi ka hissa ban chuka hai ....ek to ab mere saath mere papa ka bhi saath nahi ....shayad usi ka dard kuch zyaada hai ....jaise taise...aansuo aur dard ko chupa kar...seene me is dil ko patthar bana kar jee raha hu....rona chahta hu ..aur nahi bhi.....ro bhi leta hu ...par ro nahi pata....kai kahee ankahee baatein is seene me dabi hai ...........khair ......kuch aisi hi dabi hui dastaano aur kuch ankahee sawaalo ki kalaam hai ye..........gaur farmaiyega.......


Paa Kar Bhi Uska Saath, Aaj Kyun Akela Hu?
Tha vaada Janam Ka Phir, Aaj Kyun Akela Hu?

Khushiyon Ke Din Guzre the Khoob Saath
Dukh Uthane Ko Main Aaj Kyun Akela Hu?

Har Rukh-E-Safar Me Basi Teri Hasi Ki Goonj
Poochti Hai Wo Raahein, Aaj Kyun Akela Hu?

Sargoshiyan Lehron Ki Aur Duur Khamosh Sahil
Pooche Woh Ghar Mitti Ka, Aaj Kyun Akela Hu?

Seh Raha Hai Ilzaam Sar Jhukae Woh Darkht
Naam To Hai Dono Ka Phir, Aaj Kyun Akela Hu?
(Darkht=tree)

Kaliyan Hai Murjhaai Aur Pholoon Ko Justaju
Ban K Aanso Shabnam Pooche, Aaj Kyun Akela Hu?

Mehfil Me Teri Aaj Bhi Yun Rehta Hai Mera Zikr
Sab ke Lab Pe Ban Kar Sawal, Aaj Kyun Akela Hu?

Kasme Vaade To The "Shoonya" Sath Jeene Marne Ke
Maut Bhi Poochti Hai Aake Ye, Aaj Kyun Akela Hu ?

Ek Simat ta Shoonya---------------------------

Tuesday, February 16, 2010

"Wo aayenge" - insired by the lovely photograph


"Wo aayenge kabhi is dil me..
Ek umeed kahin ye bhi bani si hai..
Kehne ko to apno ki kami nahi..
Na jane kyun bas teri kami si hai"
Ye ek sher hai jo mere dil ke bahut kareeb hai .....neeche lagai hui is tasveer jo maine kheenchi hai isme ek kahaani si dikhti hai mujhe....ek couple behadh pyar me ujha hua hai aur ek taraf ek nazuk si murjhai hui kali kisi ka intezaar kiye jaa rahi hai ....isi tasveer par maine kuch likhne ki koshish ki hai .....



Ab to tu laut aaja ke tujh bin viraan hai
Bas tera khayaal har dam baaqi anjaan hai

Tujh bin har shay bekaar hai, bemaine hai sab kuch
Tujh par jaan nisaar, tujh pe duniya kurbaan hai

Ku-e-yaar ka baar baar na musaafir banu
Bhaari dil liye safar-e-raah-e-kehkashaan hai

Dil ka raaz chehre ne faash kar diya, kambakht
Bahut dinon se gayab chehre se muskaan hai

Bewaqt kabhi bhi aajaati hai kyun teri yaad
Beech ghazal ke ladkhada jaati zabaan hai

Tasalli karlo hain duniya me aur bhi miskeen
Tasalli karli par dil fir bhi pareshaan hai

Phool bhi na dikhaana ....hoti hai afsurdagee
Band aankhon me bhi tasavvur gulistaan hai

Kabhi teri tasveer jalaa du kabhi yaadein
“Shoonya” ke seene me ek aatish-e-pinhaan hai




kehkashaan - Galaxy
faash - expose'
miskeen - poor
Afsurdagee - sadness
tasavvur - imagination
aatish-e-pinhaan - hidden fire


-----------------Ek Simat ta Shoonya ---------------