Friday, October 23, 2009

yakin tha ek din tujhko bhi mohobbat hogi

ye pyari si poem shona k liye ..... un 6 mahine ke papad ke liye jo maine bele the....
aakhir mujhe yakin tha ki tumhe bhi mohobbat hogi.




Yakin tha ek din tujhko bhi mohobbat hogi
In aankho.N ko mere deedar ki chahat hogi

Kaati hai bahot raate.N hum ne yuNhi tanha
Aaj ke baad fir kabhi na shab-e-furkat hogi

Teri baaho.N meiN simat jaane ki khwaahish
Aake sine se lagaalo mujhko to inaayat hogi

Paaoge saath mujhe har mod, har kadam par
Jab kabhi mahesus tujhe meri jaroorat hogi

Ulfat-e- iqrar gar kar lo bhari mahefil meiN
Mere sanam mujhe fir na koii shikayat hogi

Monday, October 12, 2009

usne use bhi wahi naam diya........

mere hi ek purani kalam se inspired hai ye.....nazm....
"jagah nahi badli unke intezaar ki ..par ab log wahaan naye aate rahe"....
aisa hi kuch manzar dikha meri aankhon ke saamne kuch dino pehle...bas to usi ki yaad me pesh hai ...



Kudrat ne na jaane kyon ek ko maikada tamaam diya

To kissi aur ke haanthon main bas ek khaali jaam diya

Baat kuch khaas nahin ki khizaan ne kayi zulm dhaaye
Fasl e bahaar ne bhi muskuraa kar mujhe zukaam diya

Bhuul kar waajibaat ko apne meine mohabbat nibhaayi
Na puuchiye mehbooba ne wafaaon ko kya inaam diya

Mann main saji thi yaad e mehboob baDi hi hifaazat se
Dil ko manaa ke har ek yaad mitane ka usse kaam diya

Koyi karz baaki na raha mere umr daraazi ka, Zindagi...!
Moti bikhraa kar ankhon ne tumhein dugnaa daam diya

Ahad o paimaan ke daaman thaam ke jeena hai mushkil
Zehn main yaha baat aayi to khud ko meine ilzaam diya

Jahan se mere fanaa hone ki khabar kal mile ya na mile
Meri shayri ne aaj bhi mere zinda hone ka payaam diya

Bhuule se bhi na pukaregi tujhe "J...." kehkar "Jubin"
Sunaa hai apne naye mehboob ko uss ne yahi naam diya

Saturday, October 10, 2009

Happy Birthday Sonam "MITTAL"

i've known her since college ...she's my Junior :) ....we clicked the day we met... we had a good bonding throughout college...thanks to social networking sites we're still in touch ....
i may not be having a special place in her life but for me she'll always be "miss Mittal"
i used to always tell her ...marry me....(just coz her last name was MITTAL) ...ah those were the days ...anyways ...
its her birthday today and i just wrote a poem for her....
wishing you a happy birthday................hugs...and well wishes ......
love ...............Jubin ....................

I’m wishing you another year

Of laughter, joy and fun,
Surprises, love and happiness,
And when your birthday’s done,

I hope you feel deep in your heart,
As your birthdays come and go,
How very much you mean to me,
More than you can know.

Instead of counting candles,
Or tallying the years,
Contemplate your blessings now,
As your birthday nears.

Consider special people

Who love you, and who care,
And others who’ve enriched your life
Just by being there.

Think about the memories
Passing years can never mar,
Experiences great and small
That have made you who you are.

Another year is a happy gift,

So cut your cake, and say,
"Instead of counting birthdays,
I count blessings every day!"-----------------Ek Simat ta Shoonya..............

Thursday, October 8, 2009

"i have never done anything wrong" - S......

sometimes it does happen.....kisi ke baare me aap shaam se sochte ho aur achanak der raat 12 baje aapki unse baat ho jati hai ....
isi tarah kal meri bhi baat hui unse ...haan raat ke 12 baje hi .....
baaton baaton me unhone zikr kiya ki ...."would you please pray for me"...mera to jaise dil hi baith gaya ....dhadhkane ruk gayi .....poochne par unhone bataya ki ..."everythings going wrong with me ..." unhe chot aayi ....etc etc ...
"i have never done anything wrong to anyone...i dont know why is this happening"....
bas yahi baat pe maine kuch likh liya pesh hai unki nazar
unki wahi pyaari si sehmi si awaaz sunkar main rok na saka apne jazbaaton ko......is ghazal me hamesha ki tarah....ek toote hue kacche pakke marasim(relationship) Ke tukde numaya hai ....
jinke liye likha hai wo samaj jayenge ......



Teri har baat khayalon mein sambhaali main ne

Apne jeene ki koi vajah nikaali main ne.

Tujh se milna to nahin theek meri dost magar,
Teri awaaz se pehchaan bana li main ne.

Oas ki boond sa pakeeza hai apna rishta
Phir bhi kuchh log to samjhenge khata ki main ne.

Apni shaamon ki udaasi se kaho,mujh se mile
Dil mein rakkhi hai jagah thodi si khaali main ne.

Zindgi tujh ko kisi gum se milaaye na kabhi
"S......."har waqt yahi ek dua ki main ne.

Tuesday, October 6, 2009

Meri Ghazal se bani kitaab ho tum

meri aur ek kalaam mere chaand ke tukde ke liye ...kaafi arse se main jo kuch bhi likhta hu na jaane kis karan se usme dard chalakne lagta hai ...is maar jaan booj kar ye koshish rahi meri ki ek romantic poem likhu meri shona ke naam ek choti se koshish hai ..padh ke bataiye kaisi lagi peshkash


Meri chahat, mere khayal -o- khwaab ho tum
Bas ek chhahu jise main behisaab, ho tum

HusN aur Ishq ke rango.N mein saji ho aise
Khudaa ki kudarat ho, ke lajawaab ho tum

Baharo.N mein bikhri hai yeh khushboo teri
Phoolo.N ki mallika ho jaise gulaab ho tum

kya karoge tum mujh par yakin gar ye kahu?
adaa mein jiski hai nasha, sharaab ho tum

chah na rahi mujhe kisi aur bhi daulat ki
Pass mere jab tum ho, ke aaftaab ho tum

Qarar dil ka churana, kya hunar ho samajhti?
O’ neend chhuranewali, bahut kharaab ho tum

Kabhi suljha sa, kabhi uljha hua hi sahi
Dil meiN dabe har sawal ka jawaab ho tum

Waraq waraq jiska bas ishq bayan karta hai
Meri tamam Ghazal se bani kitaab ho tum . . . . .

Monday, October 5, 2009

Humko Milna Tha Juda Hona tha....

Afsaane ghul gaye mere lafzon me,To phir Shayri ho gaye hain,Main kehta hu tu suna kar,Tujhe mehsoos ho ki mukammal zabaan-e-ishq ne tarasha hai tera mera afsanaa aur dekh Main shayar ho gaya hu or tera ishq mera hunar ho gaya hai….
Ho gaya ye magar hua kaise? Kho gaya dil magar gaya kaise? raat me neend se jaaga to laga,teri awaaz suni ho jaise ,Talash maine tujhe is tarah se kiya, Tu mujhe dhoondh raha ho jaise,

Chaand ne mujhko is tarah dekha, Tu use dekh raha ho jaise………!




Mujhko malum hai ye hona tha
Humko milna tha juda hona tha

Haan mujhe khaak hi me milna tha
Ek patthar ko khuda hona tha
Humko milna tha juda hona tha

Aaj barsaat jum ke aayi hai
Dil ka koi zakhm hara hona tha
Humko milna tha juda hona tha

Dard mera baatein hai kare mujhse
Mere zakhmo ko jubaan hona tha
Humko milna tha juda hona tha

Chot khaayi hai baar baar maine
Mujhko girna tha,khada hona tha
Humko milna tha juda hona tha

Tu bhi mujhse hi, dil laga baitha
Haathon tere qatl-e-wafa hona tha
Humko milna tha juda hona tha

Chot khaate aur chup bhi rehte "Shoonya"
Kaam ye humse kahaan hona tha
Humko milna tha juda hona tha

Thursday, October 1, 2009

one of my best ...........

Ek choti si baat ko fasaana banaa diya
Guruur me khud ko, zamaana bana diya?

Kis shiddat se ki, humne ibaadat teri,
Tune to ek khel, dil ka lagaana bana diya!

Kya mile deewanon se, ab kehte hai,
apne diye hue marz ko, bahaana bana diya?

Doobne ko chullu bhar hi kaafi hai tere,
Apne aasuon ka gar paimaana bana diya!

Na bhoolne denge teri bewafai tujhe,
Teri galiyo se roz ka aana jana bana diya!

Sharmaate the kabhi humaare naam se,
Ab ye alam hai ki hume falaana bana diya!

Uske maikhane se nikalte pyaase bahot,
Mukabil uske, apna sharab khana bana diya!

Mohabbat ki ghazal ki ab gunjaish nahi,
Dil ki har aah ko ishq ka taraana bana diya!

Har war huaa hum par dhoke se dostoN,
Piith pe bhi ab dil ka ek nishaana bana diya!

Dard-e-dil ka kya pata, na ghar, na chain,
BotaloN me tuute dil ka thikaana bana diya!

Tanha ratoN ko sitam aur taare ginte haiN,
Is roz ke khel ko dil kaa behlaana bana diya!

Jang jaari hai dha.Dkanon aur sannate me,
Maut ki ummid ko hi jiina-jilaana bana diya!

Log kehte haiN naadaan hai ye bechaara,
Nahi jante thokroN ne kitna sayaana bana diya!
- - - - -Ek Simat ta Shoonya ~ ~ ~