Thursday, October 1, 2009

one of my best ...........

Ek choti si baat ko fasaana banaa diya
Guruur me khud ko, zamaana bana diya?

Kis shiddat se ki, humne ibaadat teri,
Tune to ek khel, dil ka lagaana bana diya!

Kya mile deewanon se, ab kehte hai,
apne diye hue marz ko, bahaana bana diya?

Doobne ko chullu bhar hi kaafi hai tere,
Apne aasuon ka gar paimaana bana diya!

Na bhoolne denge teri bewafai tujhe,
Teri galiyo se roz ka aana jana bana diya!

Sharmaate the kabhi humaare naam se,
Ab ye alam hai ki hume falaana bana diya!

Uske maikhane se nikalte pyaase bahot,
Mukabil uske, apna sharab khana bana diya!

Mohabbat ki ghazal ki ab gunjaish nahi,
Dil ki har aah ko ishq ka taraana bana diya!

Har war huaa hum par dhoke se dostoN,
Piith pe bhi ab dil ka ek nishaana bana diya!

Dard-e-dil ka kya pata, na ghar, na chain,
BotaloN me tuute dil ka thikaana bana diya!

Tanha ratoN ko sitam aur taare ginte haiN,
Is roz ke khel ko dil kaa behlaana bana diya!

Jang jaari hai dha.Dkanon aur sannate me,
Maut ki ummid ko hi jiina-jilaana bana diya!

Log kehte haiN naadaan hai ye bechaara,
Nahi jante thokroN ne kitna sayaana bana diya!
- - - - -Ek Simat ta Shoonya ~ ~ ~

2 comments:

  1. "Doobne ko chullu bhar hi kaafi hai tere,
    Apne aasuon ka gar paimaana bana diya!"

    amazzing..!!!!
    outstanding..:) :)

    ReplyDelete