Monday, November 16, 2009

"Adhura Panna "

"Naaz -o- andaaz se kehte hai ki jeena hoga......
zeher bhi dete hai aur kehte hain ki peena hoga....
jab main peeta hu to kehte hai ki marta bhi nahi.......
jab main marta hu to kehte hai ki jeena hoga........."

upar likhi panktiya padh kar to aapko andaaza aa hi gaya hoga ki main kya jatana chahta ...
dar asal ye ghazal maine apne ek bahut hi azeez dost ke liye likhi hai .......
aksar aisa hota hai ki hum do dost apne haal-e-dil aur beete hue kal aur aane wale kal ko lekar kashmakash me hoti hai aur suljhate suljhate poori raat beet jati hai ...isi tarah aur ek baar der raat tak baithe the hum aur is baar ye nazm likhne ki inspiration mujhe ek to upar likhi 4 lines se mili aur doosri us hi azeez dost ke zind-e-daur se mili...kuch likhe ki koshish hai aur isme bhi aapko ku
ch kacche pakke toote hue marasim ke tukde numaya dikhenge.

kal raat doston ke saath ek shaam bitane ke baad ye likhne ki aas umdi .....
to pesh hai ek koshish........




saaqi, aaj kal wo phir se aane lage hai hamaare khwaab me,
lagata hai, wo pehle jaisa asar nahi raha teri sharaab me.

unhone hi mujhe is aakhari manzil tak pohchaya hai saaqi,
jo raah me kabhi mile the hame, ham-safar ke naqaab me.

tujhe maan nevaalo se main darta hu, isiliye chup hu, varna
o khuda, maine to bahut si kamiyaa paai hai tere hisaab me.

naam, izzat, shauharat, javaani....aur na jaane kya kya...
yaaroN, ye sab doob ke beh gaya waqt ke ek hi sailaab me.

Doston.., shauk se sawaal pe sawaal kiye jaao ham se,
"J......"... gazalo par gazale likhataa rahega javaab me."


-------------------------Ek Simat Ta Shoonya --------------------

Saturday, November 14, 2009

Ek Shayar ka Ghar hai ....

kisi kisi ki zindagiyon me kisi aur ka asar kuch is tarah ho jata hai ki ...har ek pal har ek cheez me unki ruuh bas jati hai .....kuch khubsurat lamhe haseen pal jo aage chal ke yaad ban jate hai .
is nazm me aap dekhenge ki maine ek shayar ke ghar ko darshane ko koshish ki hai ....
ki kis tarah kisi ka bahut bada influence ho jata hai zindagi me.



Woh deewaarien ghar ki aaj bhi
aawaaz tumhe hi deti hain,
Woh parde khidkiyon ke ab
bahut naaraaz rehte hain.

Akela sa khada rehta hai
woh aangan ka soona kona,
Jitna rokun sambhalu main
badhta rehta hai uska rona.

Ghadi deewaar ki bhi to
ishaara tumse hi chaahti hai,
Woh ruk-ruk kar aaj mujhko
bura sa waqt dikhaati hai.

Kahan ban paaya tha aashiq
chaand-taare bhi na laata tha,
Main apne aansuon ko bas
baarishon me bahaata tha.

Aaj bhi raaston me main
palatkar dekha karta hoon,
Ek ummeed me rehkar
aaj bhi tere aane ka intezaar karta hu..........

Sunday, November 8, 2009

~ B a d l a a v ~

dost mere kuch aise hai jo na jaane kyun meri aur us ........ki mulaqaat karwane pe zor de rahe hai
sochte hai ki kahin na kahin to jubin badal hi gaya hoga aur wo bhi shayad baat karna chahta hai,.....
wo ye samaj jaye ki ye unka vehm hai ...main ab ek kaafi hi acche zind-e-daur se guzar raha hu ...aaj main aise kisi ke saath hu jiske saath main mere zindagi ke 7 janam bitane ko taiyaar hu....
aur ek wo jo hume rota hua chod gaye the ek din ...yunhi dard me kuch saal mahine aise hi nahi nikale maine ye to bhi jaanta hai main bhi jaanta hu ...waqt bhi jaanta hai mere shabd bhi jaante hai ...
kyun mere badlaav ki umeed me meri jaan aur liye jaa raha hai mere dost.....maangna hi hai to hisaab us se jaa kar maang jiske karan aaj ek is tarah ka hunar mujhme hai ki main mere dard ko shabdo me dhaal sakta hu...
mujhe manane se kuch nahi hoga Nitin...main ab zindagi k ek aise mod pe hu jahaan main apne guzre hue kal se koi naata nahi chahta ...dosti k roop me bhi shayad nahi .....
shayad ye kalaam tujhe kuch samjhaye ki main kya kehna chahta hu .....

Zamana Badal Raha Hai Ek Mere Badal Jane Se Kya hoga
Main to magribi aaftaab hun mere dhal jane se kya hoga


Rise Lahoo Kisi PaTThar DiL Say To Baat KuCh Aur hogi
Pahele Hi MoaM Hai Jo To Uske Pighal Jane Se Kya hoga

Kadam kadam khayi hai thokre umar bhar chalte chalte
Gir gaye hai ab nazaroN se to sambhal jane se kya hoga

Har paher har shab kati hai meri yaadoN mein tumhare
Tum Mile ho aaj to Pal Do Pal dil Bahal jane se kya hoga

Hazaro khawahishe hai dil mein hasarate hai beshumar
Agar che ek aad kwahish ke dum nikal jane se kya hoga

Tum roshni ke soudayi hai meri andheroN se shaanasai
Teri chasm E tawajjoH ke liye Mere Jal Jane se kya hoga


magribi aaftaab= western sun, pashchimi suraj
shaanasai = pehchan ki nishaniyan

Friday, October 23, 2009

yakin tha ek din tujhko bhi mohobbat hogi

ye pyari si poem shona k liye ..... un 6 mahine ke papad ke liye jo maine bele the....
aakhir mujhe yakin tha ki tumhe bhi mohobbat hogi.




Yakin tha ek din tujhko bhi mohobbat hogi
In aankho.N ko mere deedar ki chahat hogi

Kaati hai bahot raate.N hum ne yuNhi tanha
Aaj ke baad fir kabhi na shab-e-furkat hogi

Teri baaho.N meiN simat jaane ki khwaahish
Aake sine se lagaalo mujhko to inaayat hogi

Paaoge saath mujhe har mod, har kadam par
Jab kabhi mahesus tujhe meri jaroorat hogi

Ulfat-e- iqrar gar kar lo bhari mahefil meiN
Mere sanam mujhe fir na koii shikayat hogi

Monday, October 12, 2009

usne use bhi wahi naam diya........

mere hi ek purani kalam se inspired hai ye.....nazm....
"jagah nahi badli unke intezaar ki ..par ab log wahaan naye aate rahe"....
aisa hi kuch manzar dikha meri aankhon ke saamne kuch dino pehle...bas to usi ki yaad me pesh hai ...



Kudrat ne na jaane kyon ek ko maikada tamaam diya

To kissi aur ke haanthon main bas ek khaali jaam diya

Baat kuch khaas nahin ki khizaan ne kayi zulm dhaaye
Fasl e bahaar ne bhi muskuraa kar mujhe zukaam diya

Bhuul kar waajibaat ko apne meine mohabbat nibhaayi
Na puuchiye mehbooba ne wafaaon ko kya inaam diya

Mann main saji thi yaad e mehboob baDi hi hifaazat se
Dil ko manaa ke har ek yaad mitane ka usse kaam diya

Koyi karz baaki na raha mere umr daraazi ka, Zindagi...!
Moti bikhraa kar ankhon ne tumhein dugnaa daam diya

Ahad o paimaan ke daaman thaam ke jeena hai mushkil
Zehn main yaha baat aayi to khud ko meine ilzaam diya

Jahan se mere fanaa hone ki khabar kal mile ya na mile
Meri shayri ne aaj bhi mere zinda hone ka payaam diya

Bhuule se bhi na pukaregi tujhe "J...." kehkar "Jubin"
Sunaa hai apne naye mehboob ko uss ne yahi naam diya

Saturday, October 10, 2009

Happy Birthday Sonam "MITTAL"

i've known her since college ...she's my Junior :) ....we clicked the day we met... we had a good bonding throughout college...thanks to social networking sites we're still in touch ....
i may not be having a special place in her life but for me she'll always be "miss Mittal"
i used to always tell her ...marry me....(just coz her last name was MITTAL) ...ah those were the days ...anyways ...
its her birthday today and i just wrote a poem for her....
wishing you a happy birthday................hugs...and well wishes ......
love ...............Jubin ....................

I’m wishing you another year

Of laughter, joy and fun,
Surprises, love and happiness,
And when your birthday’s done,

I hope you feel deep in your heart,
As your birthdays come and go,
How very much you mean to me,
More than you can know.

Instead of counting candles,
Or tallying the years,
Contemplate your blessings now,
As your birthday nears.

Consider special people

Who love you, and who care,
And others who’ve enriched your life
Just by being there.

Think about the memories
Passing years can never mar,
Experiences great and small
That have made you who you are.

Another year is a happy gift,

So cut your cake, and say,
"Instead of counting birthdays,
I count blessings every day!"-----------------Ek Simat ta Shoonya..............

Thursday, October 8, 2009

"i have never done anything wrong" - S......

sometimes it does happen.....kisi ke baare me aap shaam se sochte ho aur achanak der raat 12 baje aapki unse baat ho jati hai ....
isi tarah kal meri bhi baat hui unse ...haan raat ke 12 baje hi .....
baaton baaton me unhone zikr kiya ki ...."would you please pray for me"...mera to jaise dil hi baith gaya ....dhadhkane ruk gayi .....poochne par unhone bataya ki ..."everythings going wrong with me ..." unhe chot aayi ....etc etc ...
"i have never done anything wrong to anyone...i dont know why is this happening"....
bas yahi baat pe maine kuch likh liya pesh hai unki nazar
unki wahi pyaari si sehmi si awaaz sunkar main rok na saka apne jazbaaton ko......is ghazal me hamesha ki tarah....ek toote hue kacche pakke marasim(relationship) Ke tukde numaya hai ....
jinke liye likha hai wo samaj jayenge ......



Teri har baat khayalon mein sambhaali main ne

Apne jeene ki koi vajah nikaali main ne.

Tujh se milna to nahin theek meri dost magar,
Teri awaaz se pehchaan bana li main ne.

Oas ki boond sa pakeeza hai apna rishta
Phir bhi kuchh log to samjhenge khata ki main ne.

Apni shaamon ki udaasi se kaho,mujh se mile
Dil mein rakkhi hai jagah thodi si khaali main ne.

Zindgi tujh ko kisi gum se milaaye na kabhi
"S......."har waqt yahi ek dua ki main ne.

Tuesday, October 6, 2009

Meri Ghazal se bani kitaab ho tum

meri aur ek kalaam mere chaand ke tukde ke liye ...kaafi arse se main jo kuch bhi likhta hu na jaane kis karan se usme dard chalakne lagta hai ...is maar jaan booj kar ye koshish rahi meri ki ek romantic poem likhu meri shona ke naam ek choti se koshish hai ..padh ke bataiye kaisi lagi peshkash


Meri chahat, mere khayal -o- khwaab ho tum
Bas ek chhahu jise main behisaab, ho tum

HusN aur Ishq ke rango.N mein saji ho aise
Khudaa ki kudarat ho, ke lajawaab ho tum

Baharo.N mein bikhri hai yeh khushboo teri
Phoolo.N ki mallika ho jaise gulaab ho tum

kya karoge tum mujh par yakin gar ye kahu?
adaa mein jiski hai nasha, sharaab ho tum

chah na rahi mujhe kisi aur bhi daulat ki
Pass mere jab tum ho, ke aaftaab ho tum

Qarar dil ka churana, kya hunar ho samajhti?
O’ neend chhuranewali, bahut kharaab ho tum

Kabhi suljha sa, kabhi uljha hua hi sahi
Dil meiN dabe har sawal ka jawaab ho tum

Waraq waraq jiska bas ishq bayan karta hai
Meri tamam Ghazal se bani kitaab ho tum . . . . .

Monday, October 5, 2009

Humko Milna Tha Juda Hona tha....

Afsaane ghul gaye mere lafzon me,To phir Shayri ho gaye hain,Main kehta hu tu suna kar,Tujhe mehsoos ho ki mukammal zabaan-e-ishq ne tarasha hai tera mera afsanaa aur dekh Main shayar ho gaya hu or tera ishq mera hunar ho gaya hai….
Ho gaya ye magar hua kaise? Kho gaya dil magar gaya kaise? raat me neend se jaaga to laga,teri awaaz suni ho jaise ,Talash maine tujhe is tarah se kiya, Tu mujhe dhoondh raha ho jaise,

Chaand ne mujhko is tarah dekha, Tu use dekh raha ho jaise………!




Mujhko malum hai ye hona tha
Humko milna tha juda hona tha

Haan mujhe khaak hi me milna tha
Ek patthar ko khuda hona tha
Humko milna tha juda hona tha

Aaj barsaat jum ke aayi hai
Dil ka koi zakhm hara hona tha
Humko milna tha juda hona tha

Dard mera baatein hai kare mujhse
Mere zakhmo ko jubaan hona tha
Humko milna tha juda hona tha

Chot khaayi hai baar baar maine
Mujhko girna tha,khada hona tha
Humko milna tha juda hona tha

Tu bhi mujhse hi, dil laga baitha
Haathon tere qatl-e-wafa hona tha
Humko milna tha juda hona tha

Chot khaate aur chup bhi rehte "Shoonya"
Kaam ye humse kahaan hona tha
Humko milna tha juda hona tha

Thursday, October 1, 2009

one of my best ...........

Ek choti si baat ko fasaana banaa diya
Guruur me khud ko, zamaana bana diya?

Kis shiddat se ki, humne ibaadat teri,
Tune to ek khel, dil ka lagaana bana diya!

Kya mile deewanon se, ab kehte hai,
apne diye hue marz ko, bahaana bana diya?

Doobne ko chullu bhar hi kaafi hai tere,
Apne aasuon ka gar paimaana bana diya!

Na bhoolne denge teri bewafai tujhe,
Teri galiyo se roz ka aana jana bana diya!

Sharmaate the kabhi humaare naam se,
Ab ye alam hai ki hume falaana bana diya!

Uske maikhane se nikalte pyaase bahot,
Mukabil uske, apna sharab khana bana diya!

Mohabbat ki ghazal ki ab gunjaish nahi,
Dil ki har aah ko ishq ka taraana bana diya!

Har war huaa hum par dhoke se dostoN,
Piith pe bhi ab dil ka ek nishaana bana diya!

Dard-e-dil ka kya pata, na ghar, na chain,
BotaloN me tuute dil ka thikaana bana diya!

Tanha ratoN ko sitam aur taare ginte haiN,
Is roz ke khel ko dil kaa behlaana bana diya!

Jang jaari hai dha.Dkanon aur sannate me,
Maut ki ummid ko hi jiina-jilaana bana diya!

Log kehte haiN naadaan hai ye bechaara,
Nahi jante thokroN ne kitna sayaana bana diya!
- - - - -Ek Simat ta Shoonya ~ ~ ~

Wednesday, September 23, 2009

Wo havaaon ki tarah ruKh ko badal lete hain

Chale gaye hai mausam aaNkhoN se ashq ban kar.. faisle hai saamne khade har pal ka aks ban kar.. tum aane jaane ka ye silsila chor do.. gham ke raastoN pe mujhe mod do… teri salamati main sukooN paa lounga kahiN .. mujhse apna har naata tod do… ki tumhe chah thi jis aashiyane ki .. bas dil maiN gad gaya hai naksh ban kar… aur faisle khade hai saamne.. pal pal ka aks ban kar… Dhal hi jaate hai mausam aaNkhoN se ashq ban ke …



Dost milte hain yahan, dil ko dukhane ke liye
Ungaliyan rakhte hain wo, hum pe uthane ke liye

Kya kasoor unka ye ik rasm chali aayi hai
Tohmatein hoti hi hai duniya mein lagaane ke liye

Nakhuda maan ke baithe hain jinki kashtii mein
Wo hamein maujon mein laaye the Dubaane ke liye

Wo havaaon ki tarah ruKh ko badal lete hain
Hum naseebon se lade the jinhe paane ke liye


-------------------------------------Ek Simat ta Shoonya--------------------------------

Sapna.......

just spoke to a lovely friend of mine....Sapna...
she is there in the US.....and aaj bahut dino baad baat hui us se
phone rakhne pe ehsaas hua ...ke itne saal jab ham saath the to i never told her how important she was to me ....and now when she's thousand of miles away i feel a sudden vaccum in my life.......
this poem is just to appreciate our friendship
this is in english as sapna doesn't enjoy reading hindi literature :)

You are the special one
With whom I needn't pretend
You're always there when I need you
Just like a proper friend

I didn't think I'd trust anyone
The way that I trust you
But you have this way about you
And know how to get through

I've told you things I've only thought about
Of silent dreams I couldn't let out
Of life, emotions and trivial things
Such things of which happiness brings

I tell you if I am sad, or simply just confused
You're always there to listen, but never to be used
You tell me your secrets and what you're going through
You're always there for me as I am for you

Your friendship is a special gift
A lifetime it will last
Look to the future now and never to the past
New people you will meet, and many things you will do
But never forget me, because I'll never forget you.

Thanks sapna........we all love u
take care :) be in touch

Jubin Joshi

Friday, August 28, 2009

Misaal-e-Ishq......

chand lafz pesh hai aapki khidmat.........kuch bikhre hue halaat ke tukde numaya hai is ghazal me.....



tanhaa hai meraa Dil bayaaN kaise karoo

tu mujhko bhulaa ye gumaaN kaise karoo

tamaam shehar ki nazareiN hai meri chaukhat pe
maiN tere ishq ka elaan jaaN kaise karoo

zamaana pyar ki parwaaz ka dushman niklaa
hawayeiN tez hai unchi udaaN kaise karoo

toot ke Dil bikhar gayaa hai kaanch ki tarha
mai is toote hue ghar ko makaaN kaise karoo

tera ahsaan e mohabbat chukaaunga kaise
Qarz karna hai adaa meharbaaN kaise karoo

bad tere pareshani ne mujh ko ghair liaa
ab apni mushiklo'N ko mai aasaaN kaise karoo

hawaa k rukh pe Diya jal raha hai roz-o-shab
misaal-e-ishQ hai meraa bayaaN kaise karoo...................
---------------Ek Simat ta Shoonya-----------

Wednesday, August 26, 2009

A Special Mention

well.....when we bought the car on ganesh chaturthi
we thought that this year ...ganpati bappa will bless us too by coming to our home as well
but things happened in such a fast pace we couldn't make the arrangements
so my mom and dads wish to make ganpati bappa arrive in style in this epitome of luxury.
so my close friend Jay came to the rescue
he said "visarjan is gadi me hoga "
and bang ....my mom and dad were excited
ke chalo agar bappa isme aa nahi sakte to kam se kam jaa to sakte hai :)
and thats how
the Visarjan was carried out in my car....

Thanks to Jay Desai and family with whom we share an association from around 20-30 years.

with all my excitement
all i can say is "Ganpati bappa morya"
phudchya warshi...aamchya ghari pan ya "

Tuesday, August 25, 2009

The 3 Pointed Star



years of waiting,tensed,sad moments....Later
what i finally manage to arrange for me ....is nothing but a piece of sheer elegance and luxury
a object of status, as people say the 3 pointed star :)
yes i've bought a car for myself
its been one of my specific searches...
this car drives like a dream and the comfort is unmatched to even the best selling sedans of today
this beauty of mine is in pristine condition and holds insane sentimental value for me being my first MERC ! !
ya dnt be surprised its a Mercedes Benz E250D 1997 Model Fully loaded
attaching pics for you ....see it to believe it

Thanks to Lord Ganesha & mom dad & the makers of Merc :)

Saturday, August 22, 2009

For my dear friend ( SAPNA)

she's there in the US...we couldn't even meet...i was out of bombay ...so it wasn't possible to meet before she flew....
so many years have gone by of our friendship ....and i've always troubled her someway or the other...never have i told her how much i love her ...how much i care for her....and now when she is gone...i feel i sudden vaccum in my life....pehle jab wo yahaa thi to ek ehsaas tha ke sapna yahi par hai ..she's just a fone call away .....but nw..................
here is a small poem to tell her everything what i haven't told in so many years........

love

I feel the time is getting close,
when we will have to part.
i'll show that i'll miss you,
with last words from my heart.

We must be dreaming,
for it has gone to fast.
the time we have spent together,
will soon be in our past.

I'll forget this day is coming,
today i stand here.
trying to tell you,
how much i really care.

We'll go our seperate ways,
and i'll make it if i try.
just hold on to our memories,
say never, say goodbye!!!

Ek Simat ta Shoonya.....................................

Friday, August 14, 2009

Halka Halka sa suroor (shona)

Woh raat bhi ajeeb thi, jab dekha ek chehra khwaab mein
Woh ishq tha mera ya ke jaam ka, suroor halka halka

Kya husn tha mere mehboob ka, kya ishq laajawaab
Khuda ne bhi bakhsha hai, use noor halka halka

Na raatein kat ti hain unki, na din ko chain aata hai
Hua toh unko bhi ishq ,hai zaroor halka halka

Ishq ki intehaa ye hai ke ab main sochta hu har pal
Kaise woh hamare ho, hoke majboor halka halka

Na koi janta aur na pehchanta tha hame koi
Unse naam judne se, hua Mashoor halka halka

Dekh ke mera Deewanapan, wo muskurate hain
Husn pe wo mera chaand, hai magroor halka halka

Woh khoye rehte hain khayalo mein, Uljhe se sawaalon mein
Hua unko hai ab ishq, hamse huzoor halka halka

Khamoshi hai ab baato mein, Tanhai meri raato mein
Hame bhulane ka chadha, unhe fitoor halka halka

Na koi milta hai hamse na koi yaad karta hai
Banaya hai yeh unhone, 'Jubin' dastoor halka halka

Khudaya maaf karde tu, jo ki maine koi khata
Kisiko chahna hi mera,hai kasoor halka halka.....................

...........................Ek simat ta Shoonya..............

Tuesday, August 11, 2009

Shona..........tumhare liye.........

this is for my shona again............


Kisi ke yadooN ka chaaya mujh par khumaar haiN
Ke dil keh raha hai, ho gaya tujhko bhi pyaar haiN

Meri dhadkano me samayi jaa rahi hai woh
Ke ab mere dil par mera bacha na koi ikhtiaar haiN

Na reh paata hu maiN bin uske ek pal ko bhi
kaise kahu bin uske ye zindagi suni haiN,uzaar haiN

Haal-e-dil apna kaheta hoon usko har Ghazal meiN
woh kyun na samjhe apna to yehi lafz-e-izhar haiN

aab furkat mein si lagne lagi hain mujhko zindagi
khuda.... lamha-lamha bad raha ye kaisa intezaar haiN

uff kaisi ajab si halat kar gayi haiN woh dilnashi teri
Ke log keh rahe "Jubin" tu ishQ mein hua bimaar haiN

Monday, August 3, 2009

Subah ko din.........(for Ketki)

well....theres a friend of mine who like the way i write.........
so a short poem dedicated to her ..........written specially for her....ek din bas maine usko aankhen padh li aur ye likh baitha.......

"dhoondhoge to tumhe koi mil bhi jayega..
par humse zyaada tumhe kaun chahega .....
wo dekhega bhale tumhe pyar bhari nazro se ...
par wo aankhen humari kahaan se layega............."

this ones for you Kate Ki.........

luv......Ek Simat ta Shoonya.........


Subha ko din woh hi kehte hai
Jinhe tajurba nahi raat abhi baaki hai.....


Zara faasle se chala karo tum
Saath me koi aur bhi hai.....


Puchhte ho tum jis shakss ka pata
Woh ab is shahar me nahi hai.....


Mod to kitne aaye the raaste me
Kidhar jau yeh batane wala koi nahi hai....


Tum mere maazi ki kitaab ka vark aahista se kholna
Pehle panne par kisi ke aansoon ki boond rakhi hai.....


Khatam kar diya ab maine intezaar karna kisi ka
Mujhe tanahayee me jeene ki aadat si ho gayi hai.....

Sunday, August 2, 2009

Aas To ho..........

kabhi-kabhi tere hone ka ehsaas to ho
Ek lamha hi sahi, tu mere paas to ho

na khushi kisi baat ki, na gham se taalluq koi
be-matlab si zindagi, kuch raas to ho

betaabi se dhundha, begaane chehroen me
teri shaql ka dikhe koi, yeh aas to ho

tujhe paane ki hasrat hai aur koi hasrat nahiN
mujhe paane ki tujhe bhi pyaas to ho

yeh kya baat hai ki na pyaar hai na be-zaar hai......

Tuesday, July 28, 2009

Wheels of Fortune....(story)

ever since i was a kid........i was fascinated by cars....
when i was a toddler...i would vroom toy cars around my house....
people say ....when i was born the first word i said was not mummy....it was ...maybe something to do with cars..... my obsession with cars is so much that if u cut my wrists ....you'll not find blood .....u'll find ...motor oil coming out of it......
when i got a bit older at may be around .....10-12 years old ....i would visit exhibitions and vintage car shows with my dad....stare at all the mind blowing cars that came in my line of sight........
and then with time when i entered college ...i started going for test drives..........
when other guys my age would discuss figures of hot girls around them ..........i would be blabbering about....gear ratios ..lap times...top speed etc........probably which is why i wasn't popular among girls in those early days of college.....

this is my love for cars..............
i knew to drive since i was 16 ......got my license when i was 18 ....i learnt to drive on an 1953 model Italian fiat with column shift then i moved on to maruti 800 ..

Wednesday, July 1, 2009

kuch aisi subah..... kuch aisi shaam

people always tell me ......jubi enough with your sad poems........c'mon write something romantic.....
so here is my attempt honoring their feedback.......
dedicated to .........Shona............ (keeping guessing)


Tere laboN par aksar mai.N apna naam chahta huN
Aapne ishQ ka main kuch aisa mukaam chahta huN

Na hoo koi gham fir tujhe,Na rahe hosh is jahan ka
dena tujhko mai.N khushiyaaN tamaam chahta huN

jis andaaz-e-bayaN ko padh ke jhoom uthe ye duniyaa
likhana tere ishQ ke naam woh paigaam chahta huN

kar ke teri chahatooN meiN khud ko mai.N behosh
jhuk kar tere sajde meiN kahena salaam chahta huN

na mit sake kabhi mere tasavur k aaino se tera aks
tujhse judi kuch aisi subah,kuch aisi shaam chahta huN

meheku teri saNso meiN,ho jaau dhadkano meiN shamil
"Shona" ab teri jindagi k har panno p apna naam chahta huN


----------------------------Ek Simat ta Shoonya---------------

Monday, June 29, 2009

and then it rained....Again.......

well this one is just another poem ........ of a rainy day.......when i met her...and when she left......
would seriously like to see your comments on this........

On a rainy morning,When the sun was hiding
I was out in the open,Drenched from top to bottom

My love had asked me to meet
Our usual place in the field
Behind the wind mill....Under the cedar tree

It was a lovely place...Near the quiet lake
Where the lovebirds met
When the sun is about to set

But nobody was there today
Just the rain and me...Been waiting the whole day
but she had never been late

Then She came running
i reached out and pulled her to me
She was breathing heavily....Her eyes were watery

She then moved away
And opened her wet hands
She gave me the chain....I gave her on our first date

I looked in her eyes...And she looked in mine
I understood what she didn't say
She realized, turned, ran away

I stood there for hours
Holding my heart in my hand
I didn't know how to cry...For with her I always smiled

I thank god it rained
Oh I just love the rain
for It hid my tears,...It hid my pain

That day that rain
those tears and that pain
The rain stopped then....but in my eyes it still rains


--------------------------Ek Simat ta Shoonya-------------------

Friday, June 26, 2009

wo jaate jaate.....

sagar se surahi takrati.....badal ko paseena aa jata.....
tum zulf zara bikhrati ....sawan ka mahina aa jata..........


W
o jaate jaate mujhe shayar bana gayi,
Dil me chupe us dard ke ehsaas ko phir jaga gayi.

Dekha tha ek haseen khwaab us se mulaqaat ke baad,
Aankhon mein base us khwaab ko dekho phir jala gayi.
Wo jaate jaate mujhe…….

Mai ye samjha tha ke taqdeer hai wo meri ,
Un kismat ki lakiron ko lo aaj phir wo mita gayi.
Wo jaate jaate mujhe…….

Koi saugaat to us se kabhi na mili thi mujhe ,
Bas ek tasveer thi dil me uski,wo bhi chura gayi.
Wo jaate jaate mujhe…….

Ubhara tha mai kitni muddatton mein jahan se,
Us gam ke samandar me mujhe phir se dooba gayi
Wo jaate jaate mujhe…….


Jee raha tha mai khwaabon ke us jahaan mein,
Mujhe haqeeqat ka ye manjar lo phir dikha gayi.
Wo jaate jaate mujhe…….


Toda tha dum kisi shayar ne kabhi uski shayari karte karte ,
Uski laash ko kitni muddatton baad kambakht aaj wo dafna gayi.
Wo jaate jaate mujhe……

Thursday, June 25, 2009

happy birthday ritu...........

hey ritu ....though a bit late but as promised a birthday poem for you............(2 poems actually)

god bless u take care .............
Janamdin Mubarak
- Ek Simat ta Shoonya....

khaab khushiyoN ke tumhaari palkoN meiN sajte raheiN
roz daaman meiN tumhaare gul naye khilte raheiN

ghum ka sehra ho ya ho tanhaaiyoN ki baarisheiN
aap har mausam meiN, hai meri dua ..haste raheiN

dostoN ki dostii pe fakR kariye aur kabhii
ho sake to dushmanoN ko muaaf bhi karte raheiN

kaun jaane kis ghadi meiN zindgi ki shaam ho
achha ho aap hum se aur hum aap se milte raheiN

aapki khwaish rahe shaamil duao meiN meri
silsile apni mulaqaato ke yuN hi chalte raheiN

apne saaye meiN salaamat aapko rakhe khuda
aur mubaaraQ aapko hum janamdin kahte raheiN
------------------------------------------------------------------
Be the Change
- Ek Simat ta Shoonya.....

I feared being alone,until I learned to like Myself.
I feared failure until I realized that I only Fail when I don't try.
I feared success until I realized that I had 2 try in order to be happy with myself.
I feared people's opinions until I learned that people would have opinions about me anyway.
I feared rejection until I learned to have faith in myself.
I feared the truth until I saw the ugliness in lies.
I feared life until I experienced its beauty.
I feared death until I realized dat it's not an end, but a beginning.
I feared my destiny, until I realized that I had the power to change my life.
I feared hate until I saw that it was nothing more than ignorance.
I feared love until it touched my heart, making the darkness fade into endless sunny days.
I feared ridicule until I learned how To laugh at myself.
I feared growing old until I realized that I gained wisdom every day.
I feared the future until I realized that life just kept getting better.
I feared the past until I realized dat it could no longer hurt me.
I feared the dark until I saw the beauty of the starlight.
I feared the light until I learned that the truth would give me strength.
I feared change, until I saw that even the most beautiful butterfly
had to undergo a metamorphosis before it could fly.
-------------------------Ek Simat ta Shoonya.-----------------

Monday, June 22, 2009

once again

its 12:30 in the night .... its calm all around... the atmosphere is all filled with aroma's of the soil after the rains.....
i'm the car with my friend Jay after a drive ...slow music going on...and as usual we're discussing ...about reason for my poems.... the girl....jay also had a war of words with his Ex .... as usual there are no answers to several questions....just past memories .... we head home...and i begin to wonder... my life used to be so easy going before....then as usual i scribble somelines and come up with another set of words which some how again connects with ...........u know......this poem is also in connection with the unanswared question in jay's life.....



Tere aane se pehle humari zindagi me,
teri woh dilkash muskarahat na thi.

Lekin tere jaane ke baad jo aaj hai,
Kam se kam meri ye halat na thi.

Mana Maut se to tab bhi na darte the,
magar is tarah maut ki chahat na thi.

Tune to bhula diya hume humari muflisi pe,
Lekin tujhe bhulaane ki humari haisiyat na thi.

ujaad mujhe jab basa rahi thi apna jahan,
Us waqt kya tere dil me ghabraahat na thi ?.

Tod to diya tune mera yeh be-kusoor dil,
par yeh na kehna ki mujhse muhabbat na thi??.....


-----------------------Ek Simat ta Shoonya...............

Sunday, June 14, 2009

koi fariyaad tere dil me

Dard ki shama raat bhar jali ho jaise
Gham ki lau dil me kaanp rahi ho jaise

teri ashq bhari aankhen Keh rahi hai
umr e kotaah zamanoN me kati ho jaise

ek muddat se khamosh hai zubaan teri
jhoot ke honth me sachai chhupi ho jaise

patjhad meiN ojhal hue pattoN ki tarah
tere dil mei.N meri ulfat ki kami ho jaise

'aah' dam todti jaati hai teri har dharkan
koi fariyaad tere dil mein dabi ho jaise

udaas sham ki dahliz per sar jhukaa ker
dar e yaar per nigah terii thami ho jaise

mahekti hai yeh hawaa bhi kuchh aise
teri khusboo in fizaooN me ghuli ho jaise

apna hee sayaa dekh kar mehsush huaa
Zindagi bhar tu mere saath rahi ho jaise

dafan seene meiN hai kai raaz "Jubin"
aaj bhi har jazbaat per barf jami ho jaise

Monday, June 8, 2009

khat bhigo raha tha..........

Waqt ki saakh se chand lamheN churaa loon, fir itminaan se khud ko sambhaalooN,, koi to bataaye mujhe is jahaaN men, marz-e-mohabbat ki kaun si davaa loon,, koi nahi milta hai isme sivaa tere, ab tu hi bata dil-e-khangushta ko aur kitna khangalooN,, mohabbat jab hui thi, tab to roka na tune, ab kaise ise duniyaa se chipaa loon,, waqt ki saakh se chand lamheN churaa loon………….




Mohabbat ki maiyyat pe ro raha tha,
Ashqon se tere likhe khat bhigo raha tha….


Haalat-e-ishq dekh ke dang reh gaya,
Mehboob ka daaman jo tang reh gaya.
Jis khusboo ke peeche deewana tha main,
Wo phool hi ab fakat ek rang reh gaya.
Us khusboo ki yaad me kho raha tha,
Ashqon se tere likhe khat bhigo raha tha….


Ashq palkoN ko sajaayeN to kya kareN,
SaaNseN jism ko sataayeN to kya kareN,
AansuoN me baha bhula dete ghum unka,
Gir ke tasveer unki banaayeN to kya kareN….
Un tasveeroN ko kaaNdhe pe dho raha tha,
Ashqon se tere likhe khat bhigo raha tha….


Zakhm, ashq, zillat aur hum,
Rahe saath jaise humdum..
Socha tha thoda aur jee looN,
Par tumne de di apni kasam.
Un kasmoN aur vaadoN pe ro raha tha,
Ashqon se tere likhe khat bhigo raha tha….


Mohabbat ki maiyyat pe ro raha tha,
Ashqon se tere likhe khat bhigo raha tha

Sunday, April 26, 2009

aaj ki raat bahut hai

Wo Keh Ke Chale Itni Mulaqat Bahut Hai
Maine Kaha Ruk Jao Abhi Raat Bahut Hai

Aansoo Mere Tham Jaye To fir Shauk Se Jana
Aise Me Kaha Jaogi Barsaat Bahut Hai

Wo Kehne Lagi Jana Mera Bahut Zaroori Hai
Nahi Chahti Dil Todna Tera Par Majboori Hai

Gar Hui Ho Koi Khata To Maaf Kar Dena
Maine Kaha Ho jao Chup Itni Kahi Baat Bahut Hai

Samajh Gaya Hu Sab Aur Kuch Kaho Zaroori Nahi
Bas Aaj Ki Raat Ruk Jao, Jana Itna Bhi Zaroori Nahi Hai

Phir Kabhi Na Aaunga Tumhari Zindagi Me Laut Ke
Saari Zindagi Tanhayee Ke Liye, Aaj Ki Raat Bahut Hai

Tuesday, April 21, 2009

aaj unko bhi rulaya jaaye...........

aab-o-hawaa mein teri tasveer nazar aaye
mujhko to harsoo meri taqdeer nazar aaye

woh keh raha tha usne de di mujhe rehai
qadmon mein mere phir kyon zanjeer nazar aaye

dekhe jo voh to patthar dil bhi pigal jaaye
aaNkhoN me us ke aisi taaseer nazar aaye

jis lutf se vo sab se milte hai jhuk ke us me
jazboN ko uski bakshi tauqeer nazar aaye

kyoN poochte ho mujh se,maiN sochta hu kya kya
KhwaaboN ki meri wo to taabeer nazar aaye

kholi nahi hai maiN ne dil ki kitaab uski..
Darta hu jaane kaisi tehreer nazar aaye

guzri hai zeest meri taareekiyoN se kaisi
dekha tujhe to jaise tanweer nazar aaye

gar pyar us se bilkul tujh ko naheeN 'Shoonya'
phir kiska tere dil meiN ye teer nazar aaye ?

unki tasveer ko seene se lagaya jaye
kyon na tanhai me jee behlaya jaye...

wo jo duaa mangte hai mere marne ki
meri maiyat mein usko bhi bulaya jaye...

neend ki chah me chalo yu bhi karle
suni aankho me khwabon ko sajaya jaye...

phoolon ke shehar me zakham bharne lage
patthron ke shehar mein ghar banaya jaye...

wo jo haste hain beemar-e-ishq pe aksar
'Shoonya' kyon na aaj unko bhee rulaya jaye.

Saturday, April 18, 2009

pal do pal ka nahi............

pyar.....har koi isme kuch paatah ai kuch khota hai
kisi ko befwafai milti hai kisi ko pyar .......kisi ki zindagi ujad jati hai ....kisi ka career ....kisi ka waqt....kisi ka paisa aur na jaane kya kya ...........bas aise hi ek shaqs se baat hui jiske college life ka ek saal drop hua sirf us ladki ke wajah se jo aaj ......kisi gair ke haath me haath thaame chal rahi hai



Pal do pal ka nahi tujhse, mera har shab ka hai silsila
Aisa juda rishta tujhse, mujhe maykhar ka naam mila

Kab hua main tujhse gafiil, tu hi bata e Maikashin
Jab bhi mila tujhe bhari mehfil me mila sar-e-aam mila

Qatir sirf teri-e- jaana raha apnose juda juda
Hosh na raha mujhe jab bhi tera jaam mila

Nikal gaye woh aur aage sang tere chhod mujhe
Tha main bulandiyon par, jab tera inaam mila

Kabhi ladkhadaye kadam, kabhi kadmon me tere gir gaya
Tu hi bata e Maikashi, teri chahaat ka kaisa anjaam mila

Du duhaai teri ke badduaen bhi du tujhe
Shahon se gurbate haal mila bus ilzam mila

Chhod dun tujhe ya chhod dun jiine ki KWAHISH
E Dil nashin zindagi se kuch aisa paigham mila
..........

Ek Simat ta Shoonya

Tuesday, April 14, 2009

Ek aur Suhani shaam...

ek aur suhani shaam aaj aayi....sang apne fir wahi yaadein aai .......aaj fir sheher me laut aaye hai wo bas is baar hamesha ke liye aaye hai wo .... chand dino ki yaadein nahi bas zindagi bhar ka dard laaye hai wo ......


Mujhse mat pooch kyon aankh jhukali maine
Teri tasveer thi jo tujhse chupali maine

Jispe likha tha ki tu mere muqaddar me nahi
Apne mathe ki wo tehreer mitali maine

Har janam sabko yaha saccha pyaar kaha milta hai
Teri chahat me to umr bitali maine

Mujhko jaane kaha ehsas mera le jaye
Waqt ke haatho se ek nazm uthali maine

Ghere rehti hai mujhko ek anokhi si khushbu
Teri yaadon se har ek saans sajali maine

Jiske sheron ko wo sunkar bahut royi thi
Bas wohi ek ghazal sabse chupali maine...............
----------Ek Simat ta Shoonya---------

Sunday, April 12, 2009

For NITIN & Jay

is dil o dimaag me kashmakash bahut hai, ek aisi baat pe kashmakash rahi ....k sochte sochte zindagi bhi kam rahi
aisi hi kisi baat pe meri ek shaam guzar gayi aur agar shaam bhi kam thi to ....raat bhi guzar gayi....
waqt to guzar gaya sochte sochte ....fir bhi kashmakash me dil me aaj bhi wahi hai

ye ek baat pe main aur mere do kareebi dost raat ko bahut der tak soch rahe the ...samaj rahe the samjha rahe the ........mujhe........
unhi ke waqt ke liye aur pyar ke liye ek kalaam jo shayad kahi na kahin mujhse hi juda hai

for my friends nitin & Jay........


"kabhi kabhi shaam ke is pehar, main sochta hoon ..
gar main shauk-e-wisaal rakhta, na tanha hota ..

wo meri har saans ke sang hote ..
is zindagi me, bhi rang hote ..
gar main rangon main khel sakta, na tanha hota ..

meri zaat ke, sab dareeche ..
mohabaton se, purnoor hote ..
gar main haqiqat ko, dekh sakta , na tanha hota ..

meri zindagi bhi, muskurane lagti ..
mujhe bhi mohabat, nazar ane lagti ..
gar main isharon, ko jaan sakta, na tanha hota ..

udaas shaame, or hamkalami ..
meri zindagi se, bahut duur hote ..
gar main kurbaton ko, sambhaal sakta, na tanha hota ..

usi ke chahat, main jalte jalte ..
akeli rahon, pe chalte chalte ..
gar main fasloon ko, samet sakta, na tanha hota ..

yeh kaali raatein, yeh sooni ankhein ..
chahtoon ke roshni se, chamakti rehti ..
gar main chahaton ko, chah sakta, na tanha hota ..

yeh aaj, yoon is tarha se ..
bulati hain kyun, mohabat ki raahein ..
gar main mohabaton ko, paas rakhta, na tanha hota ..

ajeeb sa dard, laga hai dil ko ..
kisi se milne ki, chahat hai dil ko ..
gar main azal se, is dil ki sunta, na tanha hota ..

hai ab musibat, har ek lamhe ki ..
guzarti nahi hai, guzaar ne se ..
gar main iss zindagi ko, guzaar sakta, na tanha hota ..

har lamha "Jubin", apni chahaton ka, khayal rakhna ..
guzre lamhoon ke, ghaltiyo pe, malaal rakhna ..
gar main apna maazi, phir se sawaar sakta, na tanha hota ..

kabhi kabhi shaam kay is pehar, main soochta hoon!.......----Ek Simat ta Shoonya

Saturday, April 11, 2009

happy birthday to me



What is it about you…

That keeps you in my thoughts…
I do not see you…
I do not hear you…
I do not talk to you…
But your always on my mind.

Is it the sunrise each morning?
The roses on my desk?
The thoughts of your smile?
Your warm touch?
Your loving arms?
Your soft sexy voice?
Or the sunsets
that were meant for us to share?

Our relationship crashed
before it ever got started…
Yet my thoughts have lasted longer
than I have known you…
We have moved on with our lives…
We shared harsh words, broken hearts
and many tears…

Yet my heart still pounds…
At the slightest sound of your voice…
Your name on a computer screen…
Your telephone number on my phone…
Or just simple thoughts of you.

What is it about you
that keeps you in my thoughts…
Day in and day out..
Yet keeps me afraid to call, email
or offer a simple hello.

So tell me, what is it about you???
Please tell me,
I would really like to know!!!

Friday, April 3, 2009

for someone........

I'll paint a sun to warm your heart
knowing that we'll never part.
I'll draw the years all passing by
So much to learn, so much to try.

I'll paint my mood in to the shadowed moon,
Paint my soul to be with you.
I'll sketch your lips upon the morning sky,
To kiss a heaven all so high

I'll hold my hand upon your grace,
Wiping away thou tears and fears.
Bringing upon the bountiful smile
Creating a sky that will shine for miles

I'll paint the stars in the evening sky,
to remind me of you pearl like eyes.
A touch of love, a touch of grace,
To softly fall on to your moonlit face.

And with this ring our lives will start,
Let nothing keep our love apart.
I'll take your hand to hold in mine,
And be together through heaven and time.

Thursday, March 26, 2009

dont drink and drive

just read this somewhere
thought i'd share it with you guys


I went to a party Mom,
I remembered what you said.
You told me not to drink, Mom,
So I drank soda instead.

I really felt proud inside, Mom,
The way you said I would.
I didn't drink and drive, Mom,
Even though the others said I should.

I know I did the right thing, Mom,
I know you are always right.
Now the party is finally ending, Mom,
As everyone is driving out of sight.

As I got into my car, Mom,
I knew I'd get home in one piece.
Because of the way you raised me,
So responsible and sweet.

I started to drive away, Mom,
But as I pulled out into the road,
The other car didn't see me, Mom,
And hit me like a load.

As I lay there on the pavement, Mom,
I hear the policeman say,
"The other guy is drunk," Mom,
And now I'm the one who will pay.

I'm lying here dying, Mom....
I wish you'd get here soon.
How could this happen to me, Mom?
My life just burst like a balloon.

There is blood all around me, Mom,
And most of it is mine.
I hear the medic say, Mom,
I'll die in a short time.

I just wanted to tell you, Mom,
I swear I didn't drink.
It was the others, Mom.
The others didn't think.

He was probably at the same party as I.
The only difference is, he drank
And I will die.
Why do people drink, Mom?
It can ruin your whole life.
I'm feeling sharp pains now.
Pains just like a knife.

The guy who hit me is walking, Mom,
And I don't think it's fair.
I'm lying here dying
And all he can do is stare.

Tell my brother not to cry, Mom.
Tell Daddy to be brave.
And when I go to heaven, Mom,
Put "Mumma's Boy" on my grave.

Someone should have told him, Mom,
Not to drink and drive.
If only they had told him, Mom,
I would still be alive.

My breath is getting shorter, Mom.
I'm becoming very scared.
Please don't cry for me, Mom.
When I needed you, you were always there.

I have one last question, Mom.
Before I say good bye.
I didn't drink and drive,
So why am I the one to die?

Tuesday, March 24, 2009

Ek din ayega

Waqt kaisa bhi ho guzar jaata hai, nasha kaisa bhi ho utar jaata hai,dil ke khel me ruswai badi hoti hai,chot khaata hai to insaan sudhar jaata hai,Main kis mitti ka banaa hu?
Sudharne ka naam bhi nahi leta.. Use gaye jamaane hue,raaten badal gayi aur din badal gaye,duniya badal gayi aur kitne mausam badal gaye, Main nahi badla, aaj bhi shikasta haal muntzir .. na jaane maazi ke kis lamhe me jiye jaata houn…..aaj bhi mehboob tera naam liye jaata hu……………..

Ab to mujhe bhool gaya hoga wo
Gair ki baahon me pada hoga wo

Kya khabar thi wo badal jayega
Din sa har roz nayaa hoga wo

Mere lafzon me mila hoga wo
Meri shayri me bayaa hoga wo

Gum nahi gar mujhe mila wo nahi
Jaane kitno ki duaa hoga wo

Sitam karne ke kuch andaaz naye
Ab bhi yahi soch raha hoga wo

Kisi shaks ki baahon me uljha hoga
Raat bhar so na saka hoga wo

Apne aashiq ko jhuka kar nadaan
Sochta hai ke badaa hoga wo

De he di ussko zindgi maine
Kya khabar thi ki juda hoga wo

Ek din qayamt ka "Jubin" aayega
Mere intzaar me khada hoga wo
----------------------Ek Simat ta Shoonya---------------

Sunday, March 22, 2009

Udasi Gunah Hai........

Aaj phir uski yaadoN ka silsilaa niklaa
Kuch kasmoN ka kuch vaadoN ka silsilaa niklaa

Har baar ki tarah manzil ke kareeb aakar
Kambakht vo hi rastoN ka silsilaa niklaa

Khyaal ye tha kuch mushkilein hongi aasaan
Magar phir nayi mushkilon ka silsilaa niklaa

Kuch to mere dil ko aadat si udaasi ki
Kuch roz nayi udaasiyoN ka silsilaa niklaa

MaiN uktaa ke shahar se bahut door aa gayaa
Par is bheed meiN bhi tanhaiyoN ka silsilaa niklaa

Ajeeb dastaN hai ki nakhuda sahil ki talaash meiN
JahaN bhi, jidhar bhi gayaa toofanoN ka silsilaa niklaa

Mat pooch teri judai me meri raatoN ka aalam
Kuch deewaroN ko takti angdaaiyoN ka silsilaa niklaa

YuN niklaa mere zahan se gul-e-zindagi ka khyaal
Dil se tamaam khwaahishoN ka silsilaa niklaa

Udaasi gunah hai, Na ummidi hai kufr 'Shoonya'
Dil meiN phir nayi ummidoN ka silsilaa niklaa
--------------Ek Simat ta Shoonya-------------

Tuesday, March 17, 2009

kya hua hai hume

Jeene ko sochte rahe, aur uthaa le gayi kazaa(maut) hume,, lakh ki thi
kosisheN, par na mili jeene ki vajah hume,, jab maut ki khwaish hi ho chali,
to dagaa de gayi nazaa(aakhii saans) hume,, ab to aadat si ho chali hai zakhm
khaane ki, to dard lagne lage davaa hume,, kuch is kadar chalni hua hai dil,
ki nashtar ki tarah chubhe ye hawaa hume,, charagar bhi dooba hua is soch me,
ki aakhir kya hai hua hume…??



AshqoN ka ye chota sa safar,
Khatm na hua zindagi bhar.

Kuch yuN hua mujh pe tera asar,
Aagaaz-o-anjaam-e-jeest, sifar*.

*zero, shoonya.

Zakhm itne ho chale badan pe,
Dard pareshaaN jaauN kidhar…

Na hoti nazmeN, na hoti ghazal,
Dard-o-mohabbat na hote agar.

Khud bhi rona aur rulana kalam ko,
Eh“Shoonya”hai ye tera kaisa hunar.

Saturday, March 14, 2009

chale jaana

Haal-e-dil apna suna loon to chale jaana
Tumko humraaz bana loon to chale jaana

Kab talak chupaa .unga apni Ulfaat tumse
ikraar –e-mohabat jo kar loon to chale jaana


Sharm-o-haya se rukh par jaise bikhri zulfe.N
Un.ko rukh par mei.N saja loon to chale jaana


Tere Husn par fidaa hai yahan deewane kayi.
Tum ko Nazaro.N mein chupa loon to chale jaana


Jaam bahot peeye teri qaatil nazaro.N se mei.Ne
ek jaam tuje hootho.N se pila loon to chale jaana


Ek muddat se pyaasa hoo.N mein teri chahat ka
Tuj ko ek bar seene se laga loon to chale jaana


Tum mujh ko hi chaaho aur duniya bhulaa do
Jaadu yeh ishq ka chalaa loon to chale jaanaa


Tum ko dil me.n basaa kar likhi hai yeh Ghazal
Dhire se usko gun-gunaa loon to chale jaana
------------Ek simat ta Shoonya---------

Wednesday, March 11, 2009

Chaahe kitna bhi mashgalaa karna, Par mere saath tum chala karna,be-naqaab ghoomte ho sadkon per, Chod do gareebon ka bhala karna,main tumhe roshini kahaan se doon,
Meri fitrat nahi jalaa karna, jab mujhe khud me dubona chaaho.. shuru milne ka silsila karna,Kya Tum mujhe ab bhi pyar karti ho..? pooch ker dil se fainsla karna



Naqaab rukhsaar par liya karna
kuch khuda se bhi darr liya karna

Gar mujhe bhoolne se fursat ho
Tum mujhe yaad kar liya karna

Jab bhi naraaz tumse ho jaaun
Mujhko baahon me bhar liya karna

Jab mere labh se kuch na sun pao
Meri aankhon ko padh liya karna

Jab mujhe chaahne ki chaahat ho
Tum naseebon se lad liya karna

Main kabhi phir na laut paaunga
Jab bhi jaaun, pakad liya karna

"Jubin" shayri ka hunar kaam aaye
Ussko shayri me jad liya karna............

----------Ek Simat ta Shoonya-----------

Saturday, March 7, 2009

Ek Baar aao.........

Halaat tere or mere darmiyaan kabhi aise na thai, tu bhi aisee na thee main bhi aisa na thaa,tu pareshaa.n na thee main bhi ruswaa na thaa,saath rehker bhi tere main khush na rahhoon, aaj se pehle aisa huaa bhi na thaa,Tu bhi tanha na thee main bhi tanha na thaa


Hum rooth gaye humko manaane ke liye aao,
Honthon pe lagi pyas bujhane ke liye aao,

Zindgi chain Se kat-ti hai sanam hizr me tere
Aa jao mujhko phir se sataane ke Aao

Hasrat-e-dard ne phir mujhko aa ghera hai
Aa jao mere dil ko dukhane ke liye aao,

Tum mere ho ke zamaane me tum hi ho mere
Mujhko seene se ek baar lagaane ke liye aao,

Humse hi paresha.n ho humse hi muhobbat hai
Hum kya hain tumhare ye bataane ke liye aao,

Waqt marte mujhe chehra dikhaya na gaya tumse
Mumkin hai janaaze ko utthane ke liye aao,

Hum mar gaye hai lekin hum dard me the tere
Na sahi ishq ....magar phir bhi zamaane ke liye aao

Neend aati nahi sote hain,sote hain bahut rote hai
Kuch khwaab haseen dil ko dikhane ke liye aao

Tum meri zaroorat ho,tum meri tamanna ho
Aa jao mujhko zahar pilaane ke liye aao

Tere intezaar me hum thak chuke kasam se
Bhaahon me hume apni sulaane ke liye aao

Maana "jubin" buraa hai,ye tum bhi jaante ho
Ek baar mujhko accha banaane ke liye aao...............

Sunday, March 1, 2009

Teri bewafai ke wafadar hai hum

har ek shaam unki yaad lekar aati hai.........
har roz ki tarah aaj bhi ek khamosh aur tanha sa ...ye "jubin"
kuch likha hai unki nazar aaj .main jaanta hu ki wo online hai aur unke paas link bhi hai mere blog ka
fir bhi nahi padhenge.....main jaanta hu
khair ab unko koi farak nahi .........mujhe khone ka shayad ab unhe dard hi nahi.......


arz hai

Teri bewafai ke wafadar hai hum
Ab to yakeen kar le, tere dildaar hai hum

Tere laut aane ki umeed to nahi
fir bhi teri raho ke talabgar hai hum

Khata hui thi kiski,ye maloom na hua
Duniya ki nazro me gunehgar hai hum

Kar lenge bharosa tere wado pe magar
Teri nazro me khoya aitbar hai hum

Zamane se chupakar rakha tha dil me
Hai mehrbani teri,sar-e-bazar hai hum..........
--------------Ek Simat ta Shoonya-----------

Saturday, February 28, 2009

Nakamyaabi.........

kuch chehro par aaj naqaab bohat hain
Jo hamare azeez-o-Ahabaab bohat hain

yeh roz naye marasim us par naye bahane
Jante hai hum wo hazir-e-jawaab bohat hain

Waqif hai uske kiye adhure wado se lekin
Kya kare dil me sajaye khwaab bohat hain

Wo to nadaan hai is shehr-e-talluq se
khabar nahi yaha saazish-e-hijaab bohat hai

khwahish thi kabhi pooche wo mujhse haal-e-dil
mere dil me bhi armano ke sailaab bohat hai

khayi thokre is qadar zindagi-e-safar se
ab har lamha mere liye Izteraab bohat hai

teri kismat par hasi aati hai "jubin"'
har shaey me tu nakamyaab bohat hai.......

Thursday, February 26, 2009

dont believe in you...........

When I say, whatever I do
Take out time, to be with you
Try to prove, my heart is true
You walk away, say, don’t believe in you…..

Picked me up, took me high
had no wings, but I cud fly
Took me higher, just to drop me
Saying you could never, believe me…..

I tried again, guess I was wrong
To explain this, I have tried so long
But you always failed to realize, you see
Cause you never had, any belief in me…..

Oh life of mine, why play this game
All you ever gave me, is agonizing pain
You made me sick, poor, lonely.
Why didn’t you ever believe me…

Wednesday, February 25, 2009

Shayad wo sirf ek khwaab thi..........

just wrote this today morning ........


Mehkaati hui hawa jaise
Aa nikli phir udhar se
Baal bikhre hue ghata se
Aankh jagi hui sitaaron si
Honthon pe nami shabnum ki
Gaalon pe hansi phoolon ki
chehra khila sawan sa
woh malika.. husn waalon ki
thehre thehre qadam se
Woh kuch aur qareeb aaye
Haathon ko pakad ke mere
Woh phir yu muskurayee
Aaye nahi zaalim ko
Koi lafz-e-ruswai
Jaate jaate keh gaye
Phir Milenge...
....Shayad main is qaabil nahi
Shayad woh meri manzil nahi
Mere har sawal ka woh jawab thi
Shayad....Shayad woh sirf ek khwab thi

Monday, February 23, 2009

wo fariyaad kar rahe hai ..............

mujhe bhulane ki koshish me wo yaad kar rahe hai
dekho to saar-e-bazaar kaise wo fariyaad kar rahe hai

hai kaafi shikayatein unko shayad humse
bas is sabab se dil ko wo nashaad kar rahe hain

har chot pe hum hi ne thama tha unko phir bhi
aaj gairo se talab wo imdaad kar rahe hai

rakha tha jisne humko ankho me sajoN kar
unhi palko se gira kar wo barbaad kar rahe hai

keh kar mera fasana anjumano me ro kar
dushmano ki mehfil wo abaad kar rahe hai

mana ki galtiyan ki par thi to aapki,
kyun ujle maboos ko mere yaad kar rahe hain

zaban khamosh aankhein nam hai lekin
dil se mere aane ki wo muraad kar rahe hai

imdaad- assist
anjuman - meeting

Friday, February 20, 2009

Jab se Tune muskurana choda hai ........

tried to write something with a touch of urdu in it....inspired by ghalib sahab .......



Jab se tune bhi muskurana choda hai
phooloN ne baaghoN me aana choda hai

Ulfat me ab wo kahaanN lazzat* baaki
Jab se tune dil ko dukhana choda hai

Mod pe kaise aaye marasim* ab apne
Roothna tumne, maine manana choda hai

Waqt-e-wasl* me tera gair sa milna
Bharam gharait*-e-ishq ne ab khana choda

Walwale* dil ke Kisko dikhaauNga apne
Tune woh to rishta hi nibhaanaa choda hai -


lazzat*(pleasure)
marasim (relation)
Waqt-e-wasl (at the time of meeting)
Bharam gharait(sharam)
Walwale(pain,restlessness)

Wednesday, February 18, 2009

Lafzon me keh na saku.........

Vo mera nahi fir uske liye kyoN tadapta hai dil
bar bar usse milne ko kyoN tarasta hai dil

tamaam dayaar me woh ek hai ajnabee
jise bahon mein bharne ko chahta hai dil

woh chand sa chehra woh qaatil nigaheiN
use chup chup ke bahut kuch kehta hai dil

sulagte hain isi dil me mere kai armaaN
nazar -E- harf se use salaam likhta hai dil

badi Fursat se banaya hai rab ne mere yaar ko
uske badan ki khusboo se mehakta hai dil

be-intehaa mohabbat karta hai 'Jubin' use
lafzon me bayaaN karne ko kyoN darta hai dil
..................

-----------Ek Simat ta Shoonya---------------

Tuesday, February 17, 2009

Tere Naam Ek khat chod aaya hu........

just wrote this today........do read and reply.........thanks for the love and support all of u have been giving me....


Hawa ke waaste ek kaam chod aaya hu

Main Diya jala ke sar-e-shaam chod aaya hu

Amaanate shahar-o-shaam chod aaya hu
Main Kahin chiraag.... kahi jaam chod aaya hu

Kabhi Naseeb ho agar fursat to use padh lena
Voh ek khat jo tere naam chod aaya hu

Ke Koi chiraag sar-e-rahgujar nahi na sahi
Main naksh-e-paak hargaam chod aaya hu

Abhi to aur bhi bahut us par tafsire* honge
Main guftagu me Jo Ibhaam* chod aaya hu

Ab vahaa se kadam bhi na badh sakenge aage
Main jahaaN gardish-e-ayaam* chod aaya hu

Ke chain se ji sukoon kabr me kazaa* aane ke bad
Tere ishq ki manzilen nakaam chod ayaa hu

Mujhe jo dhoondhna chaahe vo dhoondh le jaaye
Apne kucche ab main gumnaam chod aaya hu


Tafsire=criticism
Ibhaam=secret talks
gardish-e-ayaam=ternd of day and night( time)
Kaza = death

Monday, February 16, 2009

Mera aaina.........:for Jay

wrote this for a close friend of mine ........Jay again ......we had a heart to heart talk on the valentine day.........at the stroke of midnight........and the conversation what we had led me to write this...........

Meri baaten aaina hain ek shaks ko.. Sunta hai tadap utthta hai,aur aksar wo bhadak uthta hai,meri baaton me ek bhoole bisre marasim ke tukde numayaa hain ,Jhoothe vaadon ki tasveer,Kuch kacche pakke khwaabon ki shakl dikhai deti hai,ek daag mohobbat ka meri baaton me saaf nazar aata hai, Wo dekhta hai par dekh nahi paata,or sunta hai tadap uthta hai……….


Marasim—relationship,numayaa-- visible


Sangdil sanam se dil lagakar
Pachta rahe hai unko apna banakar..

Unpar hamari aahon ka asar nahi hua
Hum thak gaye unko haal-e-dil sunakar..

Yadon ke kante wo raaste par bicha gaye
Hum aaye the jinki raah me phool bhichakar

Chod di jinke liye humne duniya sari
Woh apne aapko, ko rahe hai kisi aur ke bahon me samakar..

Uljhan mere dil ki sulajti hi rahi hai
Kuch aise gaye hai woh zindagi meri uljakar..

Ro rokar diwane ne aisi daastan likh di
Wo roya karenge har kisi ko yeh batakar............

-----------Ek Simat ta Shoonya-----------