Monday, October 12, 2009

usne use bhi wahi naam diya........

mere hi ek purani kalam se inspired hai ye.....nazm....
"jagah nahi badli unke intezaar ki ..par ab log wahaan naye aate rahe"....
aisa hi kuch manzar dikha meri aankhon ke saamne kuch dino pehle...bas to usi ki yaad me pesh hai ...



Kudrat ne na jaane kyon ek ko maikada tamaam diya

To kissi aur ke haanthon main bas ek khaali jaam diya

Baat kuch khaas nahin ki khizaan ne kayi zulm dhaaye
Fasl e bahaar ne bhi muskuraa kar mujhe zukaam diya

Bhuul kar waajibaat ko apne meine mohabbat nibhaayi
Na puuchiye mehbooba ne wafaaon ko kya inaam diya

Mann main saji thi yaad e mehboob baDi hi hifaazat se
Dil ko manaa ke har ek yaad mitane ka usse kaam diya

Koyi karz baaki na raha mere umr daraazi ka, Zindagi...!
Moti bikhraa kar ankhon ne tumhein dugnaa daam diya

Ahad o paimaan ke daaman thaam ke jeena hai mushkil
Zehn main yaha baat aayi to khud ko meine ilzaam diya

Jahan se mere fanaa hone ki khabar kal mile ya na mile
Meri shayri ne aaj bhi mere zinda hone ka payaam diya

Bhuule se bhi na pukaregi tujhe "J...." kehkar "Jubin"
Sunaa hai apne naye mehboob ko uss ne yahi naam diya

2 comments: