Wednesday, February 24, 2010

Aaj kyun Akela Hu ?

tanha sa hu main aaj ......akela bhi hu.......kuch to khuda ne mujhe pe rehem ki hoti.......hai kai log ab aas paas mere bas jisko chahte hai unki kami hai .........
pichle kuch dino se ek khalipan sa mehsus kar raha hu ...akelapan ...tanhai ....ye to samajiye ki zindagi ka hissa ban chuka hai ....ek to ab mere saath mere papa ka bhi saath nahi ....shayad usi ka dard kuch zyaada hai ....jaise taise...aansuo aur dard ko chupa kar...seene me is dil ko patthar bana kar jee raha hu....rona chahta hu ..aur nahi bhi.....ro bhi leta hu ...par ro nahi pata....kai kahee ankahee baatein is seene me dabi hai ...........khair ......kuch aisi hi dabi hui dastaano aur kuch ankahee sawaalo ki kalaam hai ye..........gaur farmaiyega.......


Paa Kar Bhi Uska Saath, Aaj Kyun Akela Hu?
Tha vaada Janam Ka Phir, Aaj Kyun Akela Hu?

Khushiyon Ke Din Guzre the Khoob Saath
Dukh Uthane Ko Main Aaj Kyun Akela Hu?

Har Rukh-E-Safar Me Basi Teri Hasi Ki Goonj
Poochti Hai Wo Raahein, Aaj Kyun Akela Hu?

Sargoshiyan Lehron Ki Aur Duur Khamosh Sahil
Pooche Woh Ghar Mitti Ka, Aaj Kyun Akela Hu?

Seh Raha Hai Ilzaam Sar Jhukae Woh Darkht
Naam To Hai Dono Ka Phir, Aaj Kyun Akela Hu?
(Darkht=tree)

Kaliyan Hai Murjhaai Aur Pholoon Ko Justaju
Ban K Aanso Shabnam Pooche, Aaj Kyun Akela Hu?

Mehfil Me Teri Aaj Bhi Yun Rehta Hai Mera Zikr
Sab ke Lab Pe Ban Kar Sawal, Aaj Kyun Akela Hu?

Kasme Vaade To The "Shoonya" Sath Jeene Marne Ke
Maut Bhi Poochti Hai Aake Ye, Aaj Kyun Akela Hu ?

Ek Simat ta Shoonya---------------------------

Tuesday, February 16, 2010

"Wo aayenge" - insired by the lovely photograph


"Wo aayenge kabhi is dil me..
Ek umeed kahin ye bhi bani si hai..
Kehne ko to apno ki kami nahi..
Na jane kyun bas teri kami si hai"
Ye ek sher hai jo mere dil ke bahut kareeb hai .....neeche lagai hui is tasveer jo maine kheenchi hai isme ek kahaani si dikhti hai mujhe....ek couple behadh pyar me ujha hua hai aur ek taraf ek nazuk si murjhai hui kali kisi ka intezaar kiye jaa rahi hai ....isi tasveer par maine kuch likhne ki koshish ki hai .....



Ab to tu laut aaja ke tujh bin viraan hai
Bas tera khayaal har dam baaqi anjaan hai

Tujh bin har shay bekaar hai, bemaine hai sab kuch
Tujh par jaan nisaar, tujh pe duniya kurbaan hai

Ku-e-yaar ka baar baar na musaafir banu
Bhaari dil liye safar-e-raah-e-kehkashaan hai

Dil ka raaz chehre ne faash kar diya, kambakht
Bahut dinon se gayab chehre se muskaan hai

Bewaqt kabhi bhi aajaati hai kyun teri yaad
Beech ghazal ke ladkhada jaati zabaan hai

Tasalli karlo hain duniya me aur bhi miskeen
Tasalli karli par dil fir bhi pareshaan hai

Phool bhi na dikhaana ....hoti hai afsurdagee
Band aankhon me bhi tasavvur gulistaan hai

Kabhi teri tasveer jalaa du kabhi yaadein
“Shoonya” ke seene me ek aatish-e-pinhaan hai




kehkashaan - Galaxy
faash - expose'
miskeen - poor
Afsurdagee - sadness
tasavvur - imagination
aatish-e-pinhaan - hidden fire


-----------------Ek Simat ta Shoonya ---------------

Monday, February 15, 2010

Zikr na karna....

kai baar aisa hota hai ki hum andar hi andar apne dard ko chupa kar rakh lete hai ...kisi se batate bhi nahi.....bas koi ek azeez dost hi hota hai jiske saath hum apne jazbaat baant te hai .......unhe bhulane ki koshish me unhe aur yaad karte rehte hai ..........sochte hai ki unhe bhula denge par kya kabhi un baaton ko bhula paayenge....? wo lamhe? wo yaadein ?......kahin na kahin wo humari zindagi se duur jaa chuke hai fir bhi hum sochte hai ki hum use apne dil ka haal kabhi nahi batayenge...par ye bhi chahte hai ki use kisi tarah to humare gham ka ehsaas ho........khud to jaa kar nahi keh sakte par sochte hai ki koi to ho jo humari jagah par unhe jaa kar humara haal-e-dil sunae........yahi hota hai ek dost jo..............khair.......
ek choti si koshish pesh hai ...............



Dukh dard ke maaron se mera zikr na karna...
ghar jao to yaaron se mera zikar na karna...

woh zabt na ker payenge aankhon ke samandar...
tum raah guzron se mera zikr na karna...

phoolon ke nasheman me raha hoon main sada se...
dekho kabhi khaaron se mera zikr na karna...

shayad ye andhere hi mujhe raah dikhayein...
ab chaand sitaron se mera zikr na karna...

woh meri kahani ko galat rang na de de...
afsana nigaaron se mera zikr na karna...

shayad woh mere haal pe besakhta ro de...
is baar baharon se mera zikar na karna...

le jayenge gehrayi me tum ko bhi baha kar...
darya ke kinaron se mera zikr na karna...

woh shakhs mile to use har baat batana...
tum sirf isharon se mera zikr na karna...


------------------Ek Simat ta Shoonya-------------

Tuesday, February 9, 2010

Abhi nahin aana............

ek gaana hai jo mere dil ke bahut hi kareeb hai ......"abhi nahin aana" bas kuch dino pehle ki chand ghatnao par aadharit ek chotisi koshish pesh kar raha hu ....aur saath hi saath ise dedicate kar raha hu mere ek khaas dost ko ...jiska naam hai Nitin....main kyun dedicate kar raha hu ye main khud bhi nahin jaanta....bas pata nahi in shabdo se main usi se relate kar paaya....

Usne door rehne ka
Mashwara bhi likha hai

Sath hi mohobbat ka
Waasta bhi likha hai

Usne ye bhi likha hai
Mere ghar nahin aana

Saaf saaf lafzon me
Raasta bhi likha hai

Kuch huroof likhe hain
Zabt ki naseehat mein

Kuch huroof me usne
Hausla bhi likha hai

Shukriya bhi likha hai
Dil se yaad karne ka

Dil se dil ka hai kitna
Faasla bhi likha hai ..............


-------------------------------Ek Simat ta Shoonya----------------