Monday, February 15, 2010

Zikr na karna....

kai baar aisa hota hai ki hum andar hi andar apne dard ko chupa kar rakh lete hai ...kisi se batate bhi nahi.....bas koi ek azeez dost hi hota hai jiske saath hum apne jazbaat baant te hai .......unhe bhulane ki koshish me unhe aur yaad karte rehte hai ..........sochte hai ki unhe bhula denge par kya kabhi un baaton ko bhula paayenge....? wo lamhe? wo yaadein ?......kahin na kahin wo humari zindagi se duur jaa chuke hai fir bhi hum sochte hai ki hum use apne dil ka haal kabhi nahi batayenge...par ye bhi chahte hai ki use kisi tarah to humare gham ka ehsaas ho........khud to jaa kar nahi keh sakte par sochte hai ki koi to ho jo humari jagah par unhe jaa kar humara haal-e-dil sunae........yahi hota hai ek dost jo..............khair.......
ek choti si koshish pesh hai ...............



Dukh dard ke maaron se mera zikr na karna...
ghar jao to yaaron se mera zikar na karna...

woh zabt na ker payenge aankhon ke samandar...
tum raah guzron se mera zikr na karna...

phoolon ke nasheman me raha hoon main sada se...
dekho kabhi khaaron se mera zikr na karna...

shayad ye andhere hi mujhe raah dikhayein...
ab chaand sitaron se mera zikr na karna...

woh meri kahani ko galat rang na de de...
afsana nigaaron se mera zikr na karna...

shayad woh mere haal pe besakhta ro de...
is baar baharon se mera zikar na karna...

le jayenge gehrayi me tum ko bhi baha kar...
darya ke kinaron se mera zikr na karna...

woh shakhs mile to use har baat batana...
tum sirf isharon se mera zikr na karna...


------------------Ek Simat ta Shoonya-------------

4 comments: