"Wo aayenge kabhi is dil me..Ye ek sher hai jo mere dil ke bahut kareeb hai .....neeche lagai hui is tasveer jo maine kheenchi hai isme ek kahaani si dikhti hai mujhe....ek couple behadh pyar me ujha hua hai aur ek taraf ek nazuk si murjhai hui kali kisi ka intezaar kiye jaa rahi hai ....isi tasveer par maine kuch likhne ki koshish ki hai .....
Ek umeed kahin ye bhi bani si hai..
Kehne ko to apno ki kami nahi..
Na jane kyun bas teri kami si hai"
Ab to tu laut aaja ke tujh bin viraan hai
Bas tera khayaal har dam baaqi anjaan hai
Tujh bin har shay bekaar hai, bemaine hai sab kuch
Tujh par jaan nisaar, tujh pe duniya kurbaan hai
Ku-e-yaar ka baar baar na musaafir banu
Bhaari dil liye safar-e-raah-e-kehkashaan hai
Dil ka raaz chehre ne faash kar diya, kambakht
Bahut dinon se gayab chehre se muskaan hai
Bewaqt kabhi bhi aajaati hai kyun teri yaad
Beech ghazal ke ladkhada jaati zabaan hai
Tasalli karlo hain duniya me aur bhi miskeen
Tasalli karli par dil fir bhi pareshaan hai
Phool bhi na dikhaana ....hoti hai afsurdagee
Band aankhon me bhi tasavvur gulistaan hai
Kabhi teri tasveer jalaa du kabhi yaadein
“Shoonya” ke seene me ek aatish-e-pinhaan hai
kehkashaan - Galaxy
faash - expose'
miskeen - poor
Afsurdagee - sadness
tasavvur - imagination
aatish-e-pinhaan - hidden fire
-----------------Ek Simat ta Shoonya ---------------
as i was reading this..dont know why but
ReplyDeletethe ghazal "tere aane ki jab khabar meheke..." struck in my mind.!
nice one ..! :)
:) ...........
ReplyDelete