Saturday, February 28, 2009

Nakamyaabi.........

kuch chehro par aaj naqaab bohat hain
Jo hamare azeez-o-Ahabaab bohat hain

yeh roz naye marasim us par naye bahane
Jante hai hum wo hazir-e-jawaab bohat hain

Waqif hai uske kiye adhure wado se lekin
Kya kare dil me sajaye khwaab bohat hain

Wo to nadaan hai is shehr-e-talluq se
khabar nahi yaha saazish-e-hijaab bohat hai

khwahish thi kabhi pooche wo mujhse haal-e-dil
mere dil me bhi armano ke sailaab bohat hai

khayi thokre is qadar zindagi-e-safar se
ab har lamha mere liye Izteraab bohat hai

teri kismat par hasi aati hai "jubin"'
har shaey me tu nakamyaab bohat hai.......

Thursday, February 26, 2009

dont believe in you...........

When I say, whatever I do
Take out time, to be with you
Try to prove, my heart is true
You walk away, say, don’t believe in you…..

Picked me up, took me high
had no wings, but I cud fly
Took me higher, just to drop me
Saying you could never, believe me…..

I tried again, guess I was wrong
To explain this, I have tried so long
But you always failed to realize, you see
Cause you never had, any belief in me…..

Oh life of mine, why play this game
All you ever gave me, is agonizing pain
You made me sick, poor, lonely.
Why didn’t you ever believe me…

Wednesday, February 25, 2009

Shayad wo sirf ek khwaab thi..........

just wrote this today morning ........


Mehkaati hui hawa jaise
Aa nikli phir udhar se
Baal bikhre hue ghata se
Aankh jagi hui sitaaron si
Honthon pe nami shabnum ki
Gaalon pe hansi phoolon ki
chehra khila sawan sa
woh malika.. husn waalon ki
thehre thehre qadam se
Woh kuch aur qareeb aaye
Haathon ko pakad ke mere
Woh phir yu muskurayee
Aaye nahi zaalim ko
Koi lafz-e-ruswai
Jaate jaate keh gaye
Phir Milenge...
....Shayad main is qaabil nahi
Shayad woh meri manzil nahi
Mere har sawal ka woh jawab thi
Shayad....Shayad woh sirf ek khwab thi

Monday, February 23, 2009

wo fariyaad kar rahe hai ..............

mujhe bhulane ki koshish me wo yaad kar rahe hai
dekho to saar-e-bazaar kaise wo fariyaad kar rahe hai

hai kaafi shikayatein unko shayad humse
bas is sabab se dil ko wo nashaad kar rahe hain

har chot pe hum hi ne thama tha unko phir bhi
aaj gairo se talab wo imdaad kar rahe hai

rakha tha jisne humko ankho me sajoN kar
unhi palko se gira kar wo barbaad kar rahe hai

keh kar mera fasana anjumano me ro kar
dushmano ki mehfil wo abaad kar rahe hai

mana ki galtiyan ki par thi to aapki,
kyun ujle maboos ko mere yaad kar rahe hain

zaban khamosh aankhein nam hai lekin
dil se mere aane ki wo muraad kar rahe hai

imdaad- assist
anjuman - meeting

Friday, February 20, 2009

Jab se Tune muskurana choda hai ........

tried to write something with a touch of urdu in it....inspired by ghalib sahab .......



Jab se tune bhi muskurana choda hai
phooloN ne baaghoN me aana choda hai

Ulfat me ab wo kahaanN lazzat* baaki
Jab se tune dil ko dukhana choda hai

Mod pe kaise aaye marasim* ab apne
Roothna tumne, maine manana choda hai

Waqt-e-wasl* me tera gair sa milna
Bharam gharait*-e-ishq ne ab khana choda

Walwale* dil ke Kisko dikhaauNga apne
Tune woh to rishta hi nibhaanaa choda hai -


lazzat*(pleasure)
marasim (relation)
Waqt-e-wasl (at the time of meeting)
Bharam gharait(sharam)
Walwale(pain,restlessness)

Wednesday, February 18, 2009

Lafzon me keh na saku.........

Vo mera nahi fir uske liye kyoN tadapta hai dil
bar bar usse milne ko kyoN tarasta hai dil

tamaam dayaar me woh ek hai ajnabee
jise bahon mein bharne ko chahta hai dil

woh chand sa chehra woh qaatil nigaheiN
use chup chup ke bahut kuch kehta hai dil

sulagte hain isi dil me mere kai armaaN
nazar -E- harf se use salaam likhta hai dil

badi Fursat se banaya hai rab ne mere yaar ko
uske badan ki khusboo se mehakta hai dil

be-intehaa mohabbat karta hai 'Jubin' use
lafzon me bayaaN karne ko kyoN darta hai dil
..................

-----------Ek Simat ta Shoonya---------------

Tuesday, February 17, 2009

Tere Naam Ek khat chod aaya hu........

just wrote this today........do read and reply.........thanks for the love and support all of u have been giving me....


Hawa ke waaste ek kaam chod aaya hu

Main Diya jala ke sar-e-shaam chod aaya hu

Amaanate shahar-o-shaam chod aaya hu
Main Kahin chiraag.... kahi jaam chod aaya hu

Kabhi Naseeb ho agar fursat to use padh lena
Voh ek khat jo tere naam chod aaya hu

Ke Koi chiraag sar-e-rahgujar nahi na sahi
Main naksh-e-paak hargaam chod aaya hu

Abhi to aur bhi bahut us par tafsire* honge
Main guftagu me Jo Ibhaam* chod aaya hu

Ab vahaa se kadam bhi na badh sakenge aage
Main jahaaN gardish-e-ayaam* chod aaya hu

Ke chain se ji sukoon kabr me kazaa* aane ke bad
Tere ishq ki manzilen nakaam chod ayaa hu

Mujhe jo dhoondhna chaahe vo dhoondh le jaaye
Apne kucche ab main gumnaam chod aaya hu


Tafsire=criticism
Ibhaam=secret talks
gardish-e-ayaam=ternd of day and night( time)
Kaza = death

Monday, February 16, 2009

Mera aaina.........:for Jay

wrote this for a close friend of mine ........Jay again ......we had a heart to heart talk on the valentine day.........at the stroke of midnight........and the conversation what we had led me to write this...........

Meri baaten aaina hain ek shaks ko.. Sunta hai tadap utthta hai,aur aksar wo bhadak uthta hai,meri baaton me ek bhoole bisre marasim ke tukde numayaa hain ,Jhoothe vaadon ki tasveer,Kuch kacche pakke khwaabon ki shakl dikhai deti hai,ek daag mohobbat ka meri baaton me saaf nazar aata hai, Wo dekhta hai par dekh nahi paata,or sunta hai tadap uthta hai……….


Marasim—relationship,numayaa-- visible


Sangdil sanam se dil lagakar
Pachta rahe hai unko apna banakar..

Unpar hamari aahon ka asar nahi hua
Hum thak gaye unko haal-e-dil sunakar..

Yadon ke kante wo raaste par bicha gaye
Hum aaye the jinki raah me phool bhichakar

Chod di jinke liye humne duniya sari
Woh apne aapko, ko rahe hai kisi aur ke bahon me samakar..

Uljhan mere dil ki sulajti hi rahi hai
Kuch aise gaye hai woh zindagi meri uljakar..

Ro rokar diwane ne aisi daastan likh di
Wo roya karenge har kisi ko yeh batakar............

-----------Ek Simat ta Shoonya-----------

Saturday, February 14, 2009

Valentine Day.........For that someone special

Fir ek Suhani Shaam ne..........is dil ko purani baatein yaad aayi ......aur main rok na saka apne jazbaton ko .....
bazm-e-mehfil pesh hai ........


Na samjhi hui mujhse, jo ki chaahat tujhe pane ki,, bikhre armaaN bane vajah ladkhadaane ki,, zar-zar badan aur dabdabati aaNkhoN ke mile tohfe hume,, jo ki khataa maine apna dil aazmaane ki,, Humne sajda kiya mehboob ko har lamha,, par ye nahiN reet is bedard zamaane ki,, mohabbat ko batora saari zindagi maine,, kya tha maloom ki ye nahiN daulat kamaane ki,, na bataana apna gum kisi ko kabhi,, sazaa milti hai yahaaN zakhm dikhaane ki…………………………..

Haan sach nasamjhi hui mujhse jo ki chahat tujhe pane ki……………………….


Andaaz-e-aashiqui meri shairaanaa,
Bikhre armanoN ka mera aashiyaana.

Jeest se na kar sake, jeene ka bahaana,
Jo na aaya hume yuN baateN banaana.

Guzargah-e-armaan-o-hasrat raha dil,
Laga raha mehmanoN ka aana jaana.

NazreN milane ko kehte rahe vo humse,
Jo utthi nazar to tehraaya muzrimaana.

Na aaya kabhi dil se muskurana, par seekha,
Chilman-e-tabassum me gum ko chipaana.

Subah-o-shaam badalti hai unki chaahateN,
Ye kaisi hai uljhan aur ye kaisa zamaana.

Jo pucha humne unse mohabbat ki nishaani,
Hume mila apne dil ke tukdoN ka nazraana.

Kar diya bazm-e-mehfil ne hume ghayal,
Kaha iski mohabbat, dikhti hai kafiraana.


-------------------Ek Simat ta Shoonya-----------------

Friday, February 13, 2009

Teri Zulfo ko sitaro ke hawale kar de.......

a friend of mine at the animation institute ..read my blog and said"kruti ke liye likha kuch humare liye bhi likh"....
so a poem specifically dedicated to her on her beauty .........

"beauty lies within the soul".......rightly said

for you ...Sri....with love..........Jubin......

Teri in zulfho ko aaj sitaro ke hawaale kar de

Ada hai tujh sa agar yeh raat fir mujhe diwaane kar de

Humne raat me dekhi hai badr-e-noor* tere
husn se pehle
Tere
husn ke baad mere charche shaher me zaamane kar de

Mehfil saj jaye tujhse, mehfil uth jaye tere chale jane ke baad
Mureed* hai hum tere fir tawajjoh* se mujhe parwaane kar de

Hawa chale to rukh* se teri zulfhein hath jati hai

Fir Aukaat raat me ho agar to jawaani tere saamne kar de


Samandar mein Mauj uthte hai to tujhe chune ke bahane

Yeh sishe ka paimana kya hai, poore samandar ko tu maikhana kar de


badr-e-noor = Full Moon
Mureed = Fan/admirer
tawajjoh = attention
Rukh = Face


---------------Ek Simat ta Shoonya.--------------

Thursday, February 12, 2009

Tum aao to sahi.........

ye ghazal ..unke liye hai .jo ek karan hai mere shayri karne ka........
naam to nahi lunga...par fir bhi......agar wo kahin ise padh rahe hai ......main jaanta hu......ye bhi jaanta hu ki wo reply nahi karenge padhne ke baad bhi......
ab to unhe mujhe bhulaye to kaafi arsa ho gaya hai ........
is ghazal ke shabdo se ye na samajhiyega ki main unhe firse paane ki koshish kar raha hu ...
ye to bas ek dard hai dil ka jo kisi tarah ubhar ke aa raha hai
zyaada waqt zaaya na karte hue .........pesh hai .........aapki nazar .......


"cheer kar dil ko dikha denge tum aao to sahi
gile-shikawe bhi mitaa lenge tum aao to sahi

ham ne waada yeh kiya kuch na chupayenge kabhi
aaina tum ko banalenge tum aao to sahi

haath maangaa hai to ham thaam ke bhee rakhenge
ham-safar tum ko bana lenge tum aao to sahi

dil to kya cheez hai yeh jaan bhi haazir hai sanam
ham to khud ko bhi mitaa denge tum aao to sahi

mangate kyun ho charaagar se Gham-e-dil ki dava
hum tumhen Gham ki dawa denge tum aao to sahi

chaaragar: Doctor

beasar apni-muhabbat ko na samjho,
aag paani me laga denge tum aao to sahi"..............Ek Simat ta Shoonya.........

Wednesday, February 11, 2009

har shakhs me ek shayar chupa hota hai : For Jay......

well.....a few days back a friend of mine "jay" commented on my previous poem and said dude kuch romantic ho jaye .....so i gave it a try and wrote a few lines par ab ye kisi angle se romantic to nahi lagti par fir bhi .....this one here goes for my dear friend jay...........


har Shaks meiN ek Shaayar chipa hota hai

jazbaat-e-bahr dil meiN daba hota hai

bahr: darya ,samaNdar

kya kya na jaane iShq meiN hota hai
haal aaShiqoN ka bahut bura hota hai

wo kehte hain hum kya hai tumhare
maine kaha ki tu mera Khuda hota hai

maulaa mere !! yeh iShq bhi kya Khoob hai
hans ke koi kaise fana hota hai

jab yaad "Jubin" ko aati hai beete kal ki
kabhi iShq ,kabi Khud se Khafa hota hai............Ek Simat ta Shoonya

Monday, February 9, 2009

Leavin On a jetplane

hi ..
no no this aint no bon jovi song ....this poem of mine is inspired by the song composed and sung by John denver "leaving on a jet plane" listen to the song if you can ....this poem is inspired from that song
its about a figter pilot who is leaving his long time girlfriend who he's about to marry ........and he gets a call to reach the air base

I'll paint a sun to warm your heart
knowing that we'll never part.
I'll draw the years all passing by
So much to learn, so much to try.

I'll paint my mood in to the shadowed moon,
Paint my soul to be with you.
I'll sketch your lips upon the morning sky,
To kiss a heaven all so high

I'll hold my hand upon your grace,
Wiping away thou tears and fears.
Bringing upon the bountiful smile
Creating a sky that will shine for miles

I'll paint the stars in the evening sky,
to remind me of you pearl like eyes.
A touch of love, a touch of grace,
To softly fall on to your moonlit face.

And with this ring our lives will start,
Let nothing keep our love apart.
I'll take your hand to hold in mine,
And be together through heaven and time.............Ek Simat ta Shoonya..........

Sapna.........

hi friends sorry for the delay was actually a bit busy so couldn't post .....

well ....back once again ...a small sweet sher dedicated to a beautiful friend of mine SAPNA....
who i know for the last so many years...such thick friends we are and inshallah we always will be :)
i remember once i blurted out this shayri to her and she really loved it ....and she claims this to be her Fav shayri ....(well lets hear from sapna herself whether she still considers this her fv)


"Zindagi hai tanha is liye chup hu
dard hi dard hai subah shaam isliye chup hu
keh to du zamane se dastaan apni .....
par isme ayega tumhara naam is liye chup hu..........."


to sapna .....with love........
yours Jubbu...........................

Tuesday, February 3, 2009

Easier to Lie........

just wrote something really quick today.....still seems to be a bit incomplete....wanna know from you all ,...........how does it feel ?

When we broke up, you said you'd always love me.
Always, you said, always we'd be friends.
But soon I saw you wanted nothing of me,
And then I understood that's how it ends.
You said, "Well, it's much harder than I thought."
I guess it's always easier to lie.
You said, "Well, ask me anything you want."
But I was much too frightened to ask why.
I guess it doesn't matter why we failed,
Or why I love you after what you've done,
Or why the harshest truths must be unveiled
After the last train has come and gone.
I miss you and I love you, even though
What happened lies too deep for me to know.........

Monday, February 2, 2009

Shayad isi bahane laut aaye.......

Wo jab guzare hue afsane laut aaye
Sakiya phir hum tere mehkhaane laut aaye

hosh main jo raha to keh na paunga
Dil ko bas dil haal sunane laut aaye

jaam E Sharab Ek ke Baad phir Ek
mehfil main aaj diwaane laut aaye

Gum ko bhi hai bhulana,tujhe yaad karte karte
is dil ko Bas hum behlaane laut aaye

Ek saathi koi apna jiska Saath chuta
Hum ruksat ka bas jashn manane laut aaye

Aaj gir jau to mujko na Uthana
Kyaa pata wo isi Bahaane Laut aaye..............Ek Simat ta Shoonya