Tuesday, April 21, 2009

aaj unko bhi rulaya jaaye...........

aab-o-hawaa mein teri tasveer nazar aaye
mujhko to harsoo meri taqdeer nazar aaye

woh keh raha tha usne de di mujhe rehai
qadmon mein mere phir kyon zanjeer nazar aaye

dekhe jo voh to patthar dil bhi pigal jaaye
aaNkhoN me us ke aisi taaseer nazar aaye

jis lutf se vo sab se milte hai jhuk ke us me
jazboN ko uski bakshi tauqeer nazar aaye

kyoN poochte ho mujh se,maiN sochta hu kya kya
KhwaaboN ki meri wo to taabeer nazar aaye

kholi nahi hai maiN ne dil ki kitaab uski..
Darta hu jaane kaisi tehreer nazar aaye

guzri hai zeest meri taareekiyoN se kaisi
dekha tujhe to jaise tanweer nazar aaye

gar pyar us se bilkul tujh ko naheeN 'Shoonya'
phir kiska tere dil meiN ye teer nazar aaye ?

unki tasveer ko seene se lagaya jaye
kyon na tanhai me jee behlaya jaye...

wo jo duaa mangte hai mere marne ki
meri maiyat mein usko bhi bulaya jaye...

neend ki chah me chalo yu bhi karle
suni aankho me khwabon ko sajaya jaye...

phoolon ke shehar me zakham bharne lage
patthron ke shehar mein ghar banaya jaye...

wo jo haste hain beemar-e-ishq pe aksar
'Shoonya' kyon na aaj unko bhee rulaya jaye.

No comments:

Post a Comment