is dil o dimaag me kashmakash bahut hai, ek aisi baat pe kashmakash rahi ....k sochte sochte zindagi bhi kam rahi
aisi hi kisi baat pe meri ek shaam guzar gayi aur agar shaam bhi kam thi to ....raat bhi guzar gayi....
waqt to guzar gaya sochte sochte ....fir bhi kashmakash me dil me aaj bhi wahi hai
ye ek baat pe main aur mere do kareebi dost raat ko bahut der tak soch rahe the ...samaj rahe the samjha rahe the ........mujhe........
unhi ke waqt ke liye aur pyar ke liye ek kalaam jo shayad kahi na kahin mujhse hi juda hai
for my friends nitin & Jay........
"kabhi kabhi shaam ke is pehar, main sochta hoon ..
gar main shauk-e-wisaal rakhta, na tanha hota ..
wo meri har saans ke sang hote ..
is zindagi me, bhi rang hote ..
gar main rangon main khel sakta, na tanha hota ..
meri zaat ke, sab dareeche ..
mohabaton se, purnoor hote ..
gar main haqiqat ko, dekh sakta , na tanha hota ..
meri zindagi bhi, muskurane lagti ..
mujhe bhi mohabat, nazar ane lagti ..
gar main isharon, ko jaan sakta, na tanha hota ..
udaas shaame, or hamkalami ..
meri zindagi se, bahut duur hote ..
gar main kurbaton ko, sambhaal sakta, na tanha hota ..
usi ke chahat, main jalte jalte ..
akeli rahon, pe chalte chalte ..
gar main fasloon ko, samet sakta, na tanha hota ..
yeh kaali raatein, yeh sooni ankhein ..
chahtoon ke roshni se, chamakti rehti ..
gar main chahaton ko, chah sakta, na tanha hota ..
yeh aaj, yoon is tarha se ..
bulati hain kyun, mohabat ki raahein ..
gar main mohabaton ko, paas rakhta, na tanha hota ..
ajeeb sa dard, laga hai dil ko ..
kisi se milne ki, chahat hai dil ko ..
gar main azal se, is dil ki sunta, na tanha hota ..
hai ab musibat, har ek lamhe ki ..
guzarti nahi hai, guzaar ne se ..
gar main iss zindagi ko, guzaar sakta, na tanha hota ..
har lamha "Jubin", apni chahaton ka, khayal rakhna ..
guzre lamhoon ke, ghaltiyo pe, malaal rakhna ..
gar main apna maazi, phir se sawaar sakta, na tanha hota ..
kabhi kabhi shaam kay is pehar, main soochta hoon!.......----Ek Simat ta Shoonya
No comments:
Post a Comment