Friday, June 26, 2009

wo jaate jaate.....

sagar se surahi takrati.....badal ko paseena aa jata.....
tum zulf zara bikhrati ....sawan ka mahina aa jata..........


W
o jaate jaate mujhe shayar bana gayi,
Dil me chupe us dard ke ehsaas ko phir jaga gayi.

Dekha tha ek haseen khwaab us se mulaqaat ke baad,
Aankhon mein base us khwaab ko dekho phir jala gayi.
Wo jaate jaate mujhe…….

Mai ye samjha tha ke taqdeer hai wo meri ,
Un kismat ki lakiron ko lo aaj phir wo mita gayi.
Wo jaate jaate mujhe…….

Koi saugaat to us se kabhi na mili thi mujhe ,
Bas ek tasveer thi dil me uski,wo bhi chura gayi.
Wo jaate jaate mujhe…….

Ubhara tha mai kitni muddatton mein jahan se,
Us gam ke samandar me mujhe phir se dooba gayi
Wo jaate jaate mujhe…….


Jee raha tha mai khwaabon ke us jahaan mein,
Mujhe haqeeqat ka ye manjar lo phir dikha gayi.
Wo jaate jaate mujhe…….


Toda tha dum kisi shayar ne kabhi uski shayari karte karte ,
Uski laash ko kitni muddatton baad kambakht aaj wo dafna gayi.
Wo jaate jaate mujhe……

No comments:

Post a Comment