Monday, November 16, 2009

"Adhura Panna "

"Naaz -o- andaaz se kehte hai ki jeena hoga......
zeher bhi dete hai aur kehte hain ki peena hoga....
jab main peeta hu to kehte hai ki marta bhi nahi.......
jab main marta hu to kehte hai ki jeena hoga........."

upar likhi panktiya padh kar to aapko andaaza aa hi gaya hoga ki main kya jatana chahta ...
dar asal ye ghazal maine apne ek bahut hi azeez dost ke liye likhi hai .......
aksar aisa hota hai ki hum do dost apne haal-e-dil aur beete hue kal aur aane wale kal ko lekar kashmakash me hoti hai aur suljhate suljhate poori raat beet jati hai ...isi tarah aur ek baar der raat tak baithe the hum aur is baar ye nazm likhne ki inspiration mujhe ek to upar likhi 4 lines se mili aur doosri us hi azeez dost ke zind-e-daur se mili...kuch likhe ki koshish hai aur isme bhi aapko ku
ch kacche pakke toote hue marasim ke tukde numaya dikhenge.

kal raat doston ke saath ek shaam bitane ke baad ye likhne ki aas umdi .....
to pesh hai ek koshish........




saaqi, aaj kal wo phir se aane lage hai hamaare khwaab me,
lagata hai, wo pehle jaisa asar nahi raha teri sharaab me.

unhone hi mujhe is aakhari manzil tak pohchaya hai saaqi,
jo raah me kabhi mile the hame, ham-safar ke naqaab me.

tujhe maan nevaalo se main darta hu, isiliye chup hu, varna
o khuda, maine to bahut si kamiyaa paai hai tere hisaab me.

naam, izzat, shauharat, javaani....aur na jaane kya kya...
yaaroN, ye sab doob ke beh gaya waqt ke ek hi sailaab me.

Doston.., shauk se sawaal pe sawaal kiye jaao ham se,
"J......"... gazalo par gazale likhataa rahega javaab me."


-------------------------Ek Simat Ta Shoonya --------------------

Saturday, November 14, 2009

Ek Shayar ka Ghar hai ....

kisi kisi ki zindagiyon me kisi aur ka asar kuch is tarah ho jata hai ki ...har ek pal har ek cheez me unki ruuh bas jati hai .....kuch khubsurat lamhe haseen pal jo aage chal ke yaad ban jate hai .
is nazm me aap dekhenge ki maine ek shayar ke ghar ko darshane ko koshish ki hai ....
ki kis tarah kisi ka bahut bada influence ho jata hai zindagi me.



Woh deewaarien ghar ki aaj bhi
aawaaz tumhe hi deti hain,
Woh parde khidkiyon ke ab
bahut naaraaz rehte hain.

Akela sa khada rehta hai
woh aangan ka soona kona,
Jitna rokun sambhalu main
badhta rehta hai uska rona.

Ghadi deewaar ki bhi to
ishaara tumse hi chaahti hai,
Woh ruk-ruk kar aaj mujhko
bura sa waqt dikhaati hai.

Kahan ban paaya tha aashiq
chaand-taare bhi na laata tha,
Main apne aansuon ko bas
baarishon me bahaata tha.

Aaj bhi raaston me main
palatkar dekha karta hoon,
Ek ummeed me rehkar
aaj bhi tere aane ka intezaar karta hu..........

Sunday, November 8, 2009

~ B a d l a a v ~

dost mere kuch aise hai jo na jaane kyun meri aur us ........ki mulaqaat karwane pe zor de rahe hai
sochte hai ki kahin na kahin to jubin badal hi gaya hoga aur wo bhi shayad baat karna chahta hai,.....
wo ye samaj jaye ki ye unka vehm hai ...main ab ek kaafi hi acche zind-e-daur se guzar raha hu ...aaj main aise kisi ke saath hu jiske saath main mere zindagi ke 7 janam bitane ko taiyaar hu....
aur ek wo jo hume rota hua chod gaye the ek din ...yunhi dard me kuch saal mahine aise hi nahi nikale maine ye to bhi jaanta hai main bhi jaanta hu ...waqt bhi jaanta hai mere shabd bhi jaante hai ...
kyun mere badlaav ki umeed me meri jaan aur liye jaa raha hai mere dost.....maangna hi hai to hisaab us se jaa kar maang jiske karan aaj ek is tarah ka hunar mujhme hai ki main mere dard ko shabdo me dhaal sakta hu...
mujhe manane se kuch nahi hoga Nitin...main ab zindagi k ek aise mod pe hu jahaan main apne guzre hue kal se koi naata nahi chahta ...dosti k roop me bhi shayad nahi .....
shayad ye kalaam tujhe kuch samjhaye ki main kya kehna chahta hu .....

Zamana Badal Raha Hai Ek Mere Badal Jane Se Kya hoga
Main to magribi aaftaab hun mere dhal jane se kya hoga


Rise Lahoo Kisi PaTThar DiL Say To Baat KuCh Aur hogi
Pahele Hi MoaM Hai Jo To Uske Pighal Jane Se Kya hoga

Kadam kadam khayi hai thokre umar bhar chalte chalte
Gir gaye hai ab nazaroN se to sambhal jane se kya hoga

Har paher har shab kati hai meri yaadoN mein tumhare
Tum Mile ho aaj to Pal Do Pal dil Bahal jane se kya hoga

Hazaro khawahishe hai dil mein hasarate hai beshumar
Agar che ek aad kwahish ke dum nikal jane se kya hoga

Tum roshni ke soudayi hai meri andheroN se shaanasai
Teri chasm E tawajjoH ke liye Mere Jal Jane se kya hoga


magribi aaftaab= western sun, pashchimi suraj
shaanasai = pehchan ki nishaniyan