dost mere kuch aise hai jo na jaane kyun meri aur us ........ki mulaqaat karwane pe zor de rahe hai
sochte hai ki kahin na kahin to jubin badal hi gaya hoga aur wo bhi shayad baat karna chahta hai,.....
wo ye samaj jaye ki ye unka vehm hai ...main ab ek kaafi hi acche zind-e-daur se guzar raha hu ...aaj main aise kisi ke saath hu jiske saath main mere zindagi ke 7 janam bitane ko taiyaar hu....
aur ek wo jo hume rota hua chod gaye the ek din ...yunhi dard me kuch saal mahine aise hi nahi nikale maine ye to bhi jaanta hai main bhi jaanta hu ...waqt bhi jaanta hai mere shabd bhi jaante hai ...
kyun mere badlaav ki umeed me meri jaan aur liye jaa raha hai mere dost.....maangna hi hai to hisaab us se jaa kar maang jiske karan aaj ek is tarah ka hunar mujhme hai ki main mere dard ko shabdo me dhaal sakta hu...
mujhe manane se kuch nahi hoga Nitin...main ab zindagi k ek aise mod pe hu jahaan main apne guzre hue kal se koi naata nahi chahta ...dosti k roop me bhi shayad nahi .....
shayad ye kalaam tujhe kuch samjhaye ki main kya kehna chahta hu .....
Zamana Badal Raha Hai Ek Mere Badal Jane Se Kya hoga
Main to magribi aaftaab hun mere dhal jane se kya hoga
Rise Lahoo Kisi PaTThar DiL Say To Baat KuCh Aur hogi
Pahele Hi MoaM Hai Jo To Uske Pighal Jane Se Kya hoga
Kadam kadam khayi hai thokre umar bhar chalte chalte
Gir gaye hai ab nazaroN se to sambhal jane se kya hoga
Har paher har shab kati hai meri yaadoN mein tumhare
Tum Mile ho aaj to Pal Do Pal dil Bahal jane se kya hoga
Hazaro khawahishe hai dil mein hasarate hai beshumar
Agar che ek aad kwahish ke dum nikal jane se kya hoga
Tum roshni ke soudayi hai meri andheroN se shaanasai
Teri chasm E tawajjoH ke liye Mere Jal Jane se kya hoga
magribi aaftaab= western sun, pashchimi suraj
shaanasai = pehchan ki nishaniyan
No comments:
Post a Comment