Saturday, November 14, 2009

Ek Shayar ka Ghar hai ....

kisi kisi ki zindagiyon me kisi aur ka asar kuch is tarah ho jata hai ki ...har ek pal har ek cheez me unki ruuh bas jati hai .....kuch khubsurat lamhe haseen pal jo aage chal ke yaad ban jate hai .
is nazm me aap dekhenge ki maine ek shayar ke ghar ko darshane ko koshish ki hai ....
ki kis tarah kisi ka bahut bada influence ho jata hai zindagi me.



Woh deewaarien ghar ki aaj bhi
aawaaz tumhe hi deti hain,
Woh parde khidkiyon ke ab
bahut naaraaz rehte hain.

Akela sa khada rehta hai
woh aangan ka soona kona,
Jitna rokun sambhalu main
badhta rehta hai uska rona.

Ghadi deewaar ki bhi to
ishaara tumse hi chaahti hai,
Woh ruk-ruk kar aaj mujhko
bura sa waqt dikhaati hai.

Kahan ban paaya tha aashiq
chaand-taare bhi na laata tha,
Main apne aansuon ko bas
baarishon me bahaata tha.

Aaj bhi raaston me main
palatkar dekha karta hoon,
Ek ummeed me rehkar
aaj bhi tere aane ka intezaar karta hu..........

No comments:

Post a Comment