this poem of mine is dedicated to another sweet friend of mine ........Kruti .....dont know why but when i wrote the poem the first face that came into my mind was hers and so i thought i'd dedicate this poem to my beautiful friend Kruti :) ...god bless
Love
Jubin.........(jablu for you )
woh chaand jaisi ladki, woh sitaron jaisa aanchal,
woh phool jaisi komal, woh paanv jaise makhmal.
woh moti jaisi aakhen, woh hirni jaisi chaal,
woh chandi jaisa rang hai, woh sunehre hai baal.
woh bole to bole sangeet hai, woh hanse toh hai saaz,
woh kaanton sa chubhta hai, woh phoolon sa andaaz,
woh gussa jaise bijli, woh zulfein hai ghatayein
woh aansu jaise barkha, woh saasein hai hawayein.
woh chandni si sheetal, woh chaand pe hai rehti,
woh udti hai gagan me, woh jharno si hai behti.
woh dil ki hai haan dhadkan, woh dil se mere kehti,
woh chaand jaisi ladki, woh chaand jaisi ladki..........Ek Simat ta Shoonya....
Saturday, January 31, 2009
Friday, January 30, 2009
For Rutvi ...with love Jubin.............
this one goes for a very beautiful friend of mine "Rutvi" just had a Chat with her online yesterday and she remembered a poem i wrote for her a few months back on her eyes and she loved it......let me tell u she's really very beautiful ...as if wo seedhe chaand se utar ke aai hai ......
this poem dedicated to her beauty.........
god bless you .....
hey rutvi if ur reading this i'm expecting your comments here......... :)
chehra jiska bhi khila hoga
shaksh wo tujhse mila hoga....
tere kadmon mein gir gyaa jo
jaane wo kab ka chala hoga....
meri sanso ke chalne ka sabab
teri yaadon ka silsila hoga...
jo dua mange mere jeene ki
usko mujhse koi gila hoga.....
dekhke usko guma.N hota hai
hizr mein kitna wo jala hoga....
cheer ke dekh kabhi dil mera
teri surat ke siva kyaa hoga....
maikade aur butkade mein 'Jubin'
chand qadmon ka fasla hoga.............Ek Simat ta Shoonya
Butkada:place of worship like temples mosques etc ! !

Wednesday, January 28, 2009
Jhukti hui ye nazre..........
inspired by a line of nusrat fateh ali khan's song "afreen"
"ankhen dekhi toh mai dekhta rah gaya
jam du ore dono hee du atesha
ankhen ya makadi ki du bab hain
ankhen inako kahu, ya kahu khawab hain
ankhen niche huyi toh haya ban gayi
ankhen unchi huyi toh duwa ban gayi
ankhen uthakar jhuki to ada ban gayi
ankhen jhukakar uthi toh kada ban gayi
ankhen jinme hain asman aur jamin
nargisi nargisi surmayi surmayi"
mausam ka kya kasoor hai jo ise deewana bana rakha hai
ujale main bhi humne diye ko yunhi jala rakha hai
jab yaad teri mujhko satane lagi phir se
teri tasveer ko seene se humne laga rakha hai
kabhi tum bhi to keh do ke yaad ati hai hamari
humne apne dil ko pehle se samjha rakha hai
tasveer bhi teri chand ko dikhai nahin maine
uski nazar se tujhko zara bacha rakha hai
muskura dia karo chand ko dekh kar bhi tum
meri tarah use bhi kya khafa rakha hai
nigahain teri sharm se jhuki hoti hain aksar
phir kaise tune nazaro ko un main duba rakha hai............Ek Simat ta Shoonya....
Monday, January 26, 2009
Sunday, January 25, 2009
the incident
well... going ahead with the story of the poem ......
a girl goes to pune to study .......
the guy here is waiting the whole week for her to come back to bombay on weekends.....
the occasion was navratri........ the guy wanted to go to the navratri together with her on saturday..she was here on friday .......
saturday he calls her up and says he's got the passes ...so i'll pick u up and we go together......
but to his surprise the girl says ....no sorry i cant come i've got to go with mom... ... bas is bande ka bhi mood chala jata hai garba khelne ka.......and he just aimlessly roams around with a friend ..... after a couple of hours at 11:45 he sees the girl of his dreams in a car with another guy .........
heartbroken and crying he goes back home......nxt day he confirms this with the girl and the girl agrees .......
the whole week this guy waited for her to come to mumbai so that he could be with her ..........
playing navratri was just an excuse ......he just wanted to see her smiling face.....
from that day on the guy learnt a lesson
"never make someone your priority for whom ur just an option".....
well ......the guy in the story is ME.........and the girl ........keep guessing........
this is just one incident of my life......many more to come............

Saturday, January 24, 2009
just for you my love ......
just met that someone for whom i'd written this poem for..........
almost a year back
use mila to bas kuch khud hi ki likhi purani lines yaad aai
well ...i know ur reading this ......and this one is for you
there is a small story about this poem that i've written"...a bit short of time today so will explain story tomorrow
"tere aane ka gham hai tere jaane se zyaada
tujhe chahta hu main zindagi se zyaada
milne aur bichadne ki kashmakash me
tadap raha hu jal bin machli se zyaada
"is hafte aayenge to milenge zaroor..."
kiya tumne jo jhootha vaada
kadam to badhaye humne par
faasla akele...k`ta hi aadha
jab bhi milna chaha tumne kaha "mujhe waqt lagega thoda zyaaada"
jee raha hu har pal bebasi me sada
teri tanhaaiyo ka aalam hai
teri khushiyo se zyaada
tera ehsaas hai dhadkano se zyaada
tera intezaar hai hume maut se zyaada
khud poocho apne aap se kyu khamosh hai fiza
tumhe pehchaante hai hum khud se bhi zyaada
kabhi kareeb the humare ye soch kar dil behlate hai
tere paas aane ka gham hai tere duur jane se zyaada
hai kai log ab aaspaas unke
koi chahta hai shayad unhe ab....humse bhi zyaada
bewafai bhi nibha rahe ho wafai se zyaada
tujhe paane ka gham hai gawane se zyaada
hai khada "Jubin" aaj bhi intezaar me
tere laut aane ka intezaar hai chale jane se zyaada............Ek Simat ta Shoonya .....

Friday, January 23, 2009
hue jate hai Ghayal.....
kis tarah se chaar din mein zindagi ji lu
ek arsa bita diya hai tujhko paane meiN
subaah se hi aaftaab tera didaar jo ho
mahtaab tak lagta hai phir hosh aane meiN
dekh mujhe nazar ka teri jhuknaa
chaand daakhil ho badal ke aashiyaane meiN
subah ki nam oos tere hoonthon par
maaza aata bhi hai roothne manaane meiN
rukte kadmon se faaslon ko kam karna
raza mandi si tere hichkichaane meiN
chaar din mein nikleGaa janaaza apna
mit jaayenge khud tujhe bhulaane meiN
Marasim kuch yun bhi dil nashi hote hai
huye jaate hai 'Ghayal...' tere maikhaane meiN --------- Ek Simat ta Shoonya ........

Tuesday, January 20, 2009
Wo Befikrii Ke Din ...
Zarooratein tamanaaein khwahishein muqammal kiye jaata hoon
Kuch thak sa gaya hoon ab mein, Do khaamosh lamhe chahta hoon
Woh mehfilon ka shoro-gul, Woh rozgaar ki baagdor
Is zindagi ki raftaar ne jakad liya hai chaaron aur
Jeevan ke har sukoon ko yun hi Lutaaye aata hoon
Kuch thak sa gaya hoon ab mein, Do khaamosh lamhe chahta hoon
Sau koshishon ke baad bhi, Haasil nahi hai kuch mujhe
Iraade hain bade bade, Nateeje hain bujhe bujhe
Sifar dia hai jeevan ko, Sifar hi is se paata hoon
Kuch thak sa gaya hoon ab mein, Do khaamosh lamhe chahta hoon
Who befikrii ke din, Woh beparwaah raatein
Naa kal ki thi khabar, Naa aaj ki thee baatein
Tab khul ke hasaa kartaa thaa, Ab to yun hi muskuraata hoon
Kuch thak sa gaya hoon ab mein, Do khaamosh lamhe chahta hoon
Zarooratein tamanaaein khwahishein muqammal kiye jaata hoon
Kuch thak sa gaya hoon ab mein, Do khaamosh lamhe chahta hoon
--- Ek Simat ta Shoonya.........

Thursday, January 15, 2009
Wednesday, January 14, 2009
tujh pe barasne ko ye badal........
wrote this one for someone... who is really beautiful ........inspired by her beauty and dedicated to her....
love............jubin
Log kehte huwe teri nazron se sambhalte honge
Ke inn aankhon se to pathar bhi pighalte honge
Kiyun ayaa hoti hai shaher me aksar Khaamoshi
Ke tere kadam shayad, ghar se nikalte honge
Main jaanta hu teri thakan taweel musafaton ki
Kiyun na ho, saath tere raste bhi chalte honge
Tujh pe barasne ko yeh baadlon ki dast-e-girebani
Kab aaye gi baari, mausam bhi machalte honge
Jo teri saadgi ke charche kabhi ho jaye aasman per
Tujhe likhne ko kaandhon pe Farishte bhi badalte honge
Yeh ek ghazal hai 'Shoonya' ya keh aks unka
PaRh kar teri ghazal, shayar bhi jalte honge........Ek Simat ta Shoonya
Main wahi hoon jise tum pyar kiya karte the ......
Main Wahi Hoon Jise Tum Pyar Kiya Karte The
Din Me Sau Baar Mera Naam Liya Karte The
Kya Baat Hai Kyu Mujh Se Khafa Baithe Ho
kya Kisi Aur se dil laga baithe Ho
Faasale To Pehle Na Hua Kerte The AnMoL
Main Woh Hoon Jispe Tum Aitbaar Kiya Karte the
Mujh ko Maaloom Hai Ghamm Hai Koi Saugaat Nahi
Tum Mujhe Apna Kaho Aise Bhi Haalaat Nahi
Aur Agar Bhool Gaye Ho To Koi Baat Nahi
Zakham To Pehle Bhi Is Dil Pe Laga Karte The
Main Wohi Hoon Jise Tum Pyarrr Kiya Karte The
Din Mein Sau Baar Mera Naam Liya Karte The
Dil Mein Aata Hai Tumhein Tadpa Doon
Dard Jo Tumne Diya Hai Wo Tumhein lauta Doon
Aur Agar Jurm Na Samnjho To Ye Dohra Du
Tum Mujhe Hasil-E- Armaan Kaha Karte The

Tuesday, January 13, 2009
an old one........
I've always loved you,
been there for you.
Watched over you each passing second,
making sure no harm touched you.
Making sure your heart would not be broken,
always give you more and more love.
Looking into your eyes,
finding a glimpse of heaven.
Loving you with all my heart,
no less or more.
Pushing the sadness away,
and giving you only happiness.
Wiping away each tear you shed,
replacing it with a loving smile.
Giving you a kiss,
to take away your anger.
Your the one for me,
I love you more, I love you forever.

Toot-ta Taara .........
Wo log paagal hote hain jo kehte hain ki toot-te taaron se maangi muraaden poori ho jaaya karti hain,Tujhko chaahne ke baad bas do he kaam kiye maine,Ek Toot-te taaron se tujhe maanga,Doosra taaron ke tootne ka intzaar kiya,Tu haansil na hui ye or baat hai,
Dekh aaj phir ek taara toota hai…To ise dekh ker yahi khayaal Aaya hai mann me ki Aaj kuch bhi na maangun… Kyunki jo kuch bhi mil gaya hai tujhse.. Kaafi hai mere jeene ke liye…
Mere dil ko qaraar mil jaaye
Gar mujhe mera pyar mil jaaye
Chaahe duniya se juda ho jaaun
Bas mujhe mera yaar mil jaaye
Mujhko marne se etraaz nahi
Usski baahon ka haar mil jaaye
Ghar ki dehleez se nikalte he
Usko meri mazaar mil jaaye
Apne honthon se zahar de zaalim
Mujhko meri pagaar mil jaaye
Mere jaisa na koi tujhko mile
Chaahe aashiq hazaar mil jaaye
Jisko khoya hai laakh baar "Jubin"
Kaash wo ek baar mil jaaye - - -- - - - - - -Ek Simat ta Shoonya ....

Monday, January 12, 2009
Gum-e-Rozgaar
my first poem here do read it and looking forward to your feedback
Gum-e-rozgaar ko tere gham ne kha liya , maine tere pyar me jo bhi bann pada banaa liya,dard se meri dosti kuch iss tarah se ho gayi , dard he se main lad padaa kabhi dard he ko manaa liya , Maine iss tarah tujhe kho diya jab aa gayaa tu saamne,teri aarzoo bhi na kar sakaa teri aarzoo ko chupa liya……..baan.ta hai maine tera gum , kiss tarah jaraa ye bhi sun , Kabhi mausmo ko sunaa diya kabhi muh me he badbadaa liya..magar sach hai maine zindgi kuch iss tarah se guzaar di…tera naam jab yaad aa gaya maine apna naam bhula diya… gum-e-rozgaar ko tere gham ne khaa liya , maine tere pyar me jo bhi bann pada banaa liya
Zindgi cut gayi hijaabon me
aur ishq reh gaya naqaabon me
Hijaab-- sharm
Tu meri zindgi me shaamil nahi
aur kuch bujh gaya chiraagon me
Maine tujhe kho diya ujaale me
aur tujhe pa liya hai khwaabon me
Kaash tera ishq meri jaa.n lele
aur mera jikr ho kitaabon me
Mere mayyaar ki tum baat na karo
Meri tukmeel hai hisaabon me
Mayyaar-- standard
Tukmeel —achievement
Ek umr lag gayi samajhne me
Itne sawaal the tere jawaabon me
Mujhse tum nashtaron ki baat karo
Meri ragbat nahi gulaabon me
Ragbat – intrest
Main gareeb muflasi ka maara houn
Mujhko ginte ho kyu nawaabon me
Jubin nashe me doobe rehte ho
aur ragbat nahi sharaabon me

Finally
hi ....
after a lot of pressure from fans all around
i've finally started blogging
soon i'll be posting a lot of things like my poems my pictures (photography ofcourse :) )
looking forward to a long term association from all of you
Love
Jubin Joshi
Ek Simat ta Shoonya......

Subscribe to:
Posts (Atom)