inspired by a line of nusrat fateh ali khan's song "afreen"
"ankhen dekhi toh mai dekhta rah gaya
jam du ore dono hee du atesha
ankhen ya makadi ki du bab hain
ankhen inako kahu, ya kahu khawab hain
ankhen niche huyi toh haya ban gayi
ankhen unchi huyi toh duwa ban gayi
ankhen uthakar jhuki to ada ban gayi
ankhen jhukakar uthi toh kada ban gayi
ankhen jinme hain asman aur jamin
nargisi nargisi surmayi surmayi"
mausam ka kya kasoor hai jo ise deewana bana rakha hai
ujale main bhi humne diye ko yunhi jala rakha hai
jab yaad teri mujhko satane lagi phir se
teri tasveer ko seene se humne laga rakha hai
kabhi tum bhi to keh do ke yaad ati hai hamari
humne apne dil ko pehle se samjha rakha hai
tasveer bhi teri chand ko dikhai nahin maine
uski nazar se tujhko zara bacha rakha hai
muskura dia karo chand ko dekh kar bhi tum
meri tarah use bhi kya khafa rakha hai
nigahain teri sharm se jhuki hoti hain aksar
phir kaise tune nazaro ko un main duba rakha hai............Ek Simat ta Shoonya....
i really loved this one....
ReplyDeleteyou rock jubin :)
lotza love....