just met that someone for whom i'd written this poem for..........
almost a year back
use mila to bas kuch khud hi ki likhi purani lines yaad aai
well ...i know ur reading this ......and this one is for you
there is a small story about this poem that i've written"...a bit short of time today so will explain story tomorrow
"tere aane ka gham hai tere jaane se zyaada
tujhe chahta hu main zindagi se zyaada
milne aur bichadne ki kashmakash me
tadap raha hu jal bin machli se zyaada
"is hafte aayenge to milenge zaroor..."
kiya tumne jo jhootha vaada
kadam to badhaye humne par
faasla akele...k`ta hi aadha
jab bhi milna chaha tumne kaha "mujhe waqt lagega thoda zyaaada"
jee raha hu har pal bebasi me sada
teri tanhaaiyo ka aalam hai
teri khushiyo se zyaada
tera ehsaas hai dhadkano se zyaada
tera intezaar hai hume maut se zyaada
khud poocho apne aap se kyu khamosh hai fiza
tumhe pehchaante hai hum khud se bhi zyaada
kabhi kareeb the humare ye soch kar dil behlate hai
tere paas aane ka gham hai tere duur jane se zyaada
hai kai log ab aaspaas unke
koi chahta hai shayad unhe ab....humse bhi zyaada
bewafai bhi nibha rahe ho wafai se zyaada
tujhe paane ka gham hai gawane se zyaada
hai khada "Jubin" aaj bhi intezaar me
tere laut aane ka intezaar hai chale jane se zyaada............Ek Simat ta Shoonya .....
m speechless!!
ReplyDeletethanks shruti
ReplyDelete