Tuesday, January 20, 2009

Wo Befikrii Ke Din ...

Zarooratein tamanaaein khwahishein muqammal kiye jaata hoon
Kuch thak sa gaya hoon ab mein, Do khaamosh lamhe chahta hoon

Woh mehfilon ka shoro-gul, Woh rozgaar ki baagdor
Is zindagi ki raftaar ne jakad liya hai chaaron aur
Jeevan ke har sukoon ko yun hi Lutaaye aata hoon
Kuch thak sa gaya hoon ab mein, Do khaamosh lamhe chahta hoon

Sau koshishon ke baad bhi, Haasil nahi hai kuch mujhe
Iraade hain bade bade, Nateeje hain bujhe bujhe
Sifar dia hai jeevan ko, Sifar hi is se paata hoon
Kuch thak sa gaya hoon ab mein, Do khaamosh lamhe chahta hoon

Who befikrii ke din, Woh beparwaah raatein
Naa kal ki thi khabar, Naa aaj ki thee baatein
Tab khul ke hasaa kartaa thaa, Ab to yun hi muskuraata hoon
Kuch thak sa gaya hoon ab mein, Do khaamosh lamhe chahta hoon

Zarooratein tamanaaein khwahishein muqammal kiye jaata hoon
Kuch thak sa gaya hoon ab mein, Do khaamosh lamhe chahta hoon

--- Ek Simat ta Shoonya.........

1 comment:

  1. hmmm...u really need sum khamoosh lamhe..like i always say

    ReplyDelete