my first poem here do read it and looking forward to your feedback
Gum-e-rozgaar ko tere gham ne kha liya , maine tere pyar me jo bhi bann pada banaa liya,dard se meri dosti kuch iss tarah se ho gayi , dard he se main lad padaa kabhi dard he ko manaa liya , Maine iss tarah tujhe kho diya jab aa gayaa tu saamne,teri aarzoo bhi na kar sakaa teri aarzoo ko chupa liya……..baan.ta hai maine tera gum , kiss tarah jaraa ye bhi sun , Kabhi mausmo ko sunaa diya kabhi muh me he badbadaa liya..magar sach hai maine zindgi kuch iss tarah se guzaar di…tera naam jab yaad aa gaya maine apna naam bhula diya… gum-e-rozgaar ko tere gham ne khaa liya , maine tere pyar me jo bhi bann pada banaa liya
Zindgi cut gayi hijaabon me
aur ishq reh gaya naqaabon me
Hijaab-- sharm
Tu meri zindgi me shaamil nahi
aur kuch bujh gaya chiraagon me
Maine tujhe kho diya ujaale me
aur tujhe pa liya hai khwaabon me
Kaash tera ishq meri jaa.n lele
aur mera jikr ho kitaabon me
Mere mayyaar ki tum baat na karo
Meri tukmeel hai hisaabon me
Mayyaar-- standard
Tukmeel —achievement
Ek umr lag gayi samajhne me
Itne sawaal the tere jawaabon me
Mujhse tum nashtaron ki baat karo
Meri ragbat nahi gulaabon me
Ragbat – intrest
Main gareeb muflasi ka maara houn
Mujhko ginte ho kyu nawaabon me
Jubin nashe me doobe rehte ho
aur ragbat nahi sharaabon me
No comments:
Post a Comment