Wednesday, March 11, 2009

Chaahe kitna bhi mashgalaa karna, Par mere saath tum chala karna,be-naqaab ghoomte ho sadkon per, Chod do gareebon ka bhala karna,main tumhe roshini kahaan se doon,
Meri fitrat nahi jalaa karna, jab mujhe khud me dubona chaaho.. shuru milne ka silsila karna,Kya Tum mujhe ab bhi pyar karti ho..? pooch ker dil se fainsla karna



Naqaab rukhsaar par liya karna
kuch khuda se bhi darr liya karna

Gar mujhe bhoolne se fursat ho
Tum mujhe yaad kar liya karna

Jab bhi naraaz tumse ho jaaun
Mujhko baahon me bhar liya karna

Jab mere labh se kuch na sun pao
Meri aankhon ko padh liya karna

Jab mujhe chaahne ki chaahat ho
Tum naseebon se lad liya karna

Main kabhi phir na laut paaunga
Jab bhi jaaun, pakad liya karna

"Jubin" shayri ka hunar kaam aaye
Ussko shayri me jad liya karna............

----------Ek Simat ta Shoonya-----------

No comments:

Post a Comment