Sunday, March 22, 2009

Udasi Gunah Hai........

Aaj phir uski yaadoN ka silsilaa niklaa
Kuch kasmoN ka kuch vaadoN ka silsilaa niklaa

Har baar ki tarah manzil ke kareeb aakar
Kambakht vo hi rastoN ka silsilaa niklaa

Khyaal ye tha kuch mushkilein hongi aasaan
Magar phir nayi mushkilon ka silsilaa niklaa

Kuch to mere dil ko aadat si udaasi ki
Kuch roz nayi udaasiyoN ka silsilaa niklaa

MaiN uktaa ke shahar se bahut door aa gayaa
Par is bheed meiN bhi tanhaiyoN ka silsilaa niklaa

Ajeeb dastaN hai ki nakhuda sahil ki talaash meiN
JahaN bhi, jidhar bhi gayaa toofanoN ka silsilaa niklaa

Mat pooch teri judai me meri raatoN ka aalam
Kuch deewaroN ko takti angdaaiyoN ka silsilaa niklaa

YuN niklaa mere zahan se gul-e-zindagi ka khyaal
Dil se tamaam khwaahishoN ka silsilaa niklaa

Udaasi gunah hai, Na ummidi hai kufr 'Shoonya'
Dil meiN phir nayi ummidoN ka silsilaa niklaa
--------------Ek Simat ta Shoonya-------------

No comments:

Post a Comment