Saturday, March 7, 2009

Ek Baar aao.........

Halaat tere or mere darmiyaan kabhi aise na thai, tu bhi aisee na thee main bhi aisa na thaa,tu pareshaa.n na thee main bhi ruswaa na thaa,saath rehker bhi tere main khush na rahhoon, aaj se pehle aisa huaa bhi na thaa,Tu bhi tanha na thee main bhi tanha na thaa


Hum rooth gaye humko manaane ke liye aao,
Honthon pe lagi pyas bujhane ke liye aao,

Zindgi chain Se kat-ti hai sanam hizr me tere
Aa jao mujhko phir se sataane ke Aao

Hasrat-e-dard ne phir mujhko aa ghera hai
Aa jao mere dil ko dukhane ke liye aao,

Tum mere ho ke zamaane me tum hi ho mere
Mujhko seene se ek baar lagaane ke liye aao,

Humse hi paresha.n ho humse hi muhobbat hai
Hum kya hain tumhare ye bataane ke liye aao,

Waqt marte mujhe chehra dikhaya na gaya tumse
Mumkin hai janaaze ko utthane ke liye aao,

Hum mar gaye hai lekin hum dard me the tere
Na sahi ishq ....magar phir bhi zamaane ke liye aao

Neend aati nahi sote hain,sote hain bahut rote hai
Kuch khwaab haseen dil ko dikhane ke liye aao

Tum meri zaroorat ho,tum meri tamanna ho
Aa jao mujhko zahar pilaane ke liye aao

Tere intezaar me hum thak chuke kasam se
Bhaahon me hume apni sulaane ke liye aao

Maana "jubin" buraa hai,ye tum bhi jaante ho
Ek baar mujhko accha banaane ke liye aao...............

No comments:

Post a Comment