Tuesday, March 17, 2009

kya hua hai hume

Jeene ko sochte rahe, aur uthaa le gayi kazaa(maut) hume,, lakh ki thi
kosisheN, par na mili jeene ki vajah hume,, jab maut ki khwaish hi ho chali,
to dagaa de gayi nazaa(aakhii saans) hume,, ab to aadat si ho chali hai zakhm
khaane ki, to dard lagne lage davaa hume,, kuch is kadar chalni hua hai dil,
ki nashtar ki tarah chubhe ye hawaa hume,, charagar bhi dooba hua is soch me,
ki aakhir kya hai hua hume…??



AshqoN ka ye chota sa safar,
Khatm na hua zindagi bhar.

Kuch yuN hua mujh pe tera asar,
Aagaaz-o-anjaam-e-jeest, sifar*.

*zero, shoonya.

Zakhm itne ho chale badan pe,
Dard pareshaaN jaauN kidhar…

Na hoti nazmeN, na hoti ghazal,
Dard-o-mohabbat na hote agar.

Khud bhi rona aur rulana kalam ko,
Eh“Shoonya”hai ye tera kaisa hunar.

No comments:

Post a Comment