Friday, August 14, 2009

Halka Halka sa suroor (shona)

Woh raat bhi ajeeb thi, jab dekha ek chehra khwaab mein
Woh ishq tha mera ya ke jaam ka, suroor halka halka

Kya husn tha mere mehboob ka, kya ishq laajawaab
Khuda ne bhi bakhsha hai, use noor halka halka

Na raatein kat ti hain unki, na din ko chain aata hai
Hua toh unko bhi ishq ,hai zaroor halka halka

Ishq ki intehaa ye hai ke ab main sochta hu har pal
Kaise woh hamare ho, hoke majboor halka halka

Na koi janta aur na pehchanta tha hame koi
Unse naam judne se, hua Mashoor halka halka

Dekh ke mera Deewanapan, wo muskurate hain
Husn pe wo mera chaand, hai magroor halka halka

Woh khoye rehte hain khayalo mein, Uljhe se sawaalon mein
Hua unko hai ab ishq, hamse huzoor halka halka

Khamoshi hai ab baato mein, Tanhai meri raato mein
Hame bhulane ka chadha, unhe fitoor halka halka

Na koi milta hai hamse na koi yaad karta hai
Banaya hai yeh unhone, 'Jubin' dastoor halka halka

Khudaya maaf karde tu, jo ki maine koi khata
Kisiko chahna hi mera,hai kasoor halka halka.....................

...........................Ek simat ta Shoonya..............

3 comments:

  1. Dil ko chu gaya khayal tumhara.....ab kya batae haale dil hamahara...aapki in baaton pe hi dil dhadkta hai hamahara.......lots of love...:-)

    ReplyDelete